Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Agar Tum Dhondhna Chaho
Tu Mein Tum Ko
Khizan Asar Be-Saya Darakhton Main Tum Ko Milon
Jahan Shahab Se Mehroom Raton Ko Khizan Aram Karti Hai,
Jahan Girtay Hoye Patton Ke Matam Main
Hawa Ka Aks Shamil Hai, Meri Awaz Shamil Hai
Agar Tum Dhondhna Chaho
Tu Mein Tum Ko
Kisi Weran Bastii Mein
Kese Be Abb Sehra Main Shayad Milon
Ke Main Sehra Ki Urti Rait Ke Zaroon Ka Hissa Hon
Koi Bholi Kahani Hon
Koi Purana Qisa Hon
Kese Din Tum Jo Ay Niklo Kese Weran Qarye Main
Kese Ayesay Kharaby Mein Jahan Koi Nahi Rehta
Jahan Tareek Raton Ko
Khamoshi Chenkh Kar Apnay Makanon Main…
Kahin Betha Hoaa Dekho Kese Tanha Musafir Ko
Tum Phir Itna Samajh Lena Ke…
Tum Ne Pa Liya Mujhe Ko
AGAR TUM DHONDHNA CHAHO

Advertisement
· 1 Like · Mar 24, 2016 at 03:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Hitler
Posted by kashif qureshi
Posted on : Oct 26, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS