Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Bichar Kay Mujse Kabhi Tu Nay Yea Bhi Socha Hay..!!
Adora Chand Bhi Kitna Udaas Lagtha Hay…!!

Yea Khatam-E-Wisal Ka Lamha Hay, Rai’ghaan Na Samaj..!!
Keh Iskay Baad Wohi Doori’yun Ka Sehra Hay..!!

Kach Aur Dher Na Jharna Udasiyun Kay Shajar..!!
Kissey Khaber Teray Sa’ye Mein Kaun Bayta Hay..??

Yea Rakh Rakhao Muhabat Sekha Gaye Usko..!!
Woh Rooth Kar Bhi Muje Muskura Kar Milta Hay..!!

Mein Kis Tarah Tuje Dekhoon Nazar Ji’jikh’ti Hay..!!
Tera Badan Hay K Yea Aai’noo Ka Darya Hay…??

Kuch Is Qadar Bhi Toa Asaan Nahe Hay Ishq Tera..!!
Yea Zaher Dil Mein Utter Kar Hi Raas Aata Hay..!!

Mein Tujko Paa Kay Bhi Khoya Howa Sa Rehta Hoon..!!
Kabhi Kabhi Toa Mujey Tu Nay Theek Samja Hay..!!

Muje Khaber Hay K Kya Hay Judai’yun Ka Azaab..!!
Keh Meinne Shaakh Say Gull Ko Bichartey Dekha Hay..!!

Mein Muskura Bhi Paraa Hoon Toa Kyun Khafa Hein Yea Log..!!
Kay Phool Too’ti Howi Qaber Par BHi Khiltha Hay..!!

Ussey Ganwaa Kay Mein Zinda Hoon Iss Tarah Say Mohsin ..!!
Keh Jaisay Taizz Hawa Mein Chiraagh Jalta Hay..!!,

Advertisement
· 1 Like · Jun 04, 2016 at 18:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Mohabbat aur Izzat-e-Nafs
Posted by asiya faheem
Posted on : Oct 10, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS