Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
ke ashk rokna tum se mohal hona hay

her aik lab pe hen meri wafa ke afsanay
teray sitam ko abhi zawal hona hay

baja ke khaar hay lekin bahaar ki rut main
ye tay hay ab ke humain bhi nihal hona hay

tumhen khabar hi nahi tum to loat jao gay
tumharay hijar main lamha bhi saal hona hay

hamari rooh pe jab bhi azaab utrain gay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

kabhi to roye ga wo bhi kisi ki banhoon main
kabhi to uski hansi ko zawal hona hay

milain gi humain bhi apnay naseeb ki khushiaan
bas intizar he kab ye kamal hona hay

her aik shakhs chalay ga hamari raahon per
muhabaton main humain wo misal hona hay

zamana jis ke kham o paich main ulajh jayee
hamari zaat ko aisa sawal hona hay

Wasi yaqeen he mujh ko wo loat aye ga
usay bhi apnay kiye ka malal hona hay

Advertisement
· 1 Like · Mar 11, 2017 at 14:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS