Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Aa k pathar to mere sehan mei Do-Chaar giray
Jitne us pairh k phal thay Pas-e-Deewar giray


Aisi dehshat thi fizaon mei Khule pani ki
Aankh jhapki b nahe hath se Patvar giray


Mujhe girna hai to mei apne he Qadmon mei giron
Jis tarah Saaya-e-Deewaar pe deewar giray


Tergi chor gaye din mei ujale k Khutoot
Yeh sitare mere ghar toot k Bekar giray


Dekh ker apne Dar-o-Baam laraz uthta hon
Mere humsaye mei jab b koi Deewar giray


Waqt ki dor Khuda jane kahan se tooti
Kis ghari sar pe ye latki hoi talwaar giray


Hum se takra gai khud barh k Andhere ki chattan
Hum sambhal_ker jo bohat chalte thay Nachar giray


Hath aya nahe kuch raat ki Daldal k siva
Haye kis mor pe khuwabon k Parastar giray


Kya kahon Deeda-e-Tar yeh to mera Chehra hai
Sang kat jate hain barish ki jahan Dhaar giray


Dekhte kion ho ’Shakeb’ itni Bulandi ki taraf
Na uthaya karo sar ko k yeh Dastaar giray..........,

Advertisement
· 1 Like · May 19, 2016 at 01:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

shampoo khatam
Posted by hina raheel
Posted on : Jan 24, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS