Poetry / Love

Mohammad Asif

Itanii Mudat Baad Miley Ho

itanii mudat baad miley ho
kin sochon mein gum rahate ho

tez hava ne mujh se pucha
ret peh kya likhate rahate ho

kaun sii baat hai tum mein aisii
itane achche kyon lagte ho

ham se na pucho hijr ke qisse
apanii kaho ab tum kaise ho

· 1 Like · Nov 03, 2018 at 11:11
Category: love
 
Poetry / Love

Tum Bin

Tere Jesa Mera Bhi Haal Tha

tere jesa mera bhi haal tha na sukoon tha na qarar tha
ye ho umr thee mere humnashen ke kisi ko mujh se bhi pyar tha

mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak
isi gam ka to bhi aseer hai isi gam ka mein bhi shikar tha

faqat ek dhun thee ke raat din isi khawab zaar mein gum rahen
wo surror aisa surror tha wo khumar aisa khumar tha

kabhi lamha bhar ki guftugo meri os ke sath na ho saki
mujhe fursaten na mil saken wo hawa ke rath pe sawar tha

hum ajeeb tarz ke log thay hamare aur hi rog thay
mein khizan mein tha os ka muntazir ose intezar bahar tha

ose parh ke tum na samajh sake ke meri kitab ke roop mein
koi qarz tha kaii roz ka kaii ratjagon ka odhaar tha

· 1 Like · Nov 03, 2018 at 04:11
Category: love
 
Poetry / Love

Saad Raza

Samay Samay

samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahe

anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe

raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu barhey divaanagii bahaal rahe

hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahe

tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe

· 2 Like · Nov 02, 2018 at 17:11
Category: love
 
Poetry / Love

Saad Raza

Khuwab Ankhon Sey

Khuwab Aankhon Sey Ab Koi Chura Ker Ley Jaye
Qaber K Sookhey Huwey Phool Utha Ker Ley Jaye

Muntazir Phool Main Khushbu Ki Tarah Hun Kab Say
Koi Jhonkay Ki Tarah Aaye Ura Ker Ley Jaye

Yeh Bhi Pani Hey Mager Aankh Ka Aisa Pani
Jo Hatheli Sey Rachi Mehndi Chura Ker Ley Jaye

Main Muhabbat Sey Mahakta Hua Khat Hun Mujh Ko
Zindagi Apni Kitaabon Mein Chupa Ker Ley Jaye

Khaak Insaaf Hey Nabeena Butoon Key Aagey
Raat Thaali Mein Charaaghon Ko Sajaa Ker Ley Jaye

Un Say Kehna K Main Paidel Nahi Aaney Wala
Koi Baadal Mujhay Kaandhey Peh Bitha Ker Ley Jaye

· 2 Like · Nov 02, 2018 at 10:11
Category: love
 
Poetry / Poetry Sms

Javed Khan

Ana Hai

ana hai tum mein bhi thori bohat batana ose
woh ab mile bhi to mat haal dil sunana ose
akele kis se otha hai taluqat ka bojh
woh tum ko yaad na rakhe, to bhool jana ose

· 5 Like · Nov 02, 2018 at 04:11
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Ijunoon

Meri Aqal O Hosh

meri aqal-o-hosh ki sab haaltain
tumney saanchey main junoon ke dhaal dein
kar liya tha main ne aehd-e-tark-e-ishq
tum ne phir baanhain galay main daal dein

· 1 Like · Nov 01, 2018 at 20:11
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Ijunoon

Aja K Abe Zabat

aja k abe zabat ka mousam nahi guzra
aja k abe paharo per berf jami hai
khushbo k jazero se sitaron ke hado tak
sab kuch hai is shehar mein bas teri kami hai

· 5 Like · Nov 01, 2018 at 14:11
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Ijunoon

Tera Husan Aik Sarab

Tera Husan Aik Sarab Tha,Mera Ishq Aik Fareb.
Yeah To Zindagi Key Asool Thay,Kabi Mujh Sey Tu Jo Gula Mila.
Esi Ab-o-Gul Sey Baney hien sab, Mager Appna appna Mazaj hai
Mujhey Zindagi Ki Kasak Mili, Tujhey Zindagi Ka Maza Mila

· 1 Like · Nov 01, 2018 at 07:11
Category: poetry-sms
 
Poetry / General

Asma Altaf

Pyar Bhi Karna, Zamaney Se Bhi Ghanrana Bohat

Pyar bhi karna, zamaney se bhi ghanrana bohat,
Aayino’n ka ghar banana aur pathar sochna

· 4 Like · Nov 01, 2018 at 00:11
Category: general
 
Texi.
Posted by faisal razzaq
Posted on : Nov 09, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS