Poetry / Relegious

Shaista Anam

Ramzaan Ki Amad
Ramzaan Ki Amad Hai
Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai
Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein
Dur-e-Tauba Khula Hai Is Mahine Mein

Firdous Ki Khusboo Ati Hai
Woh Naseeb Wala Hai Jise Mile Firdous
Ao Aaj Hum Koshish Karein
Usse Paane Ki, Jise Hum Ne Abhi Talak Paya Hi Nahin

Ibadatoon Ke Is Door Mein
Ao Maangein Sub Ke Liye Magfarat
Maangtein Hain Hum Kuch Na Kuch Apne Liye
Chalo Aaj Doosroon Ke Liye Maangein

Ramzaan Ki amad Ki Khusi Hai Bahut
Saath Hi Is Ke Jald Rokhsat Ho Jaane Ka Ghum
khuda Kare Waqt Tham Jaein Us Waqt
Jab Baras Rahi Ho Khuda Ki Rehmat Hum Par

Ramzaan Ke Rokhsat Hone Se Pehle
Dur-e-Tauba Band Hone Se Pehle
Is Mubarak Mahine Ki Har Fazilat Hasil Kar Lein
Jo Hum Ghuzishta Saaloon Mein Hasil Na Kar Sake

Ramzaan Mubarak... Ramzaan Mubarak.. Too All.
Ramzaan Mubarak... Ramzaan Mubarak... Too All

Advertisement
· 1 Like · Jun 08, 2015 at 22:06
Category: relegious
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS