Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Mayoos Kabhi Hota Nahi Jisko Yakheen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai...

Machli Ka Pet Ban Gaya Insan Ka Saya...
Us Benayaz Zaat Ne Yunus ko Bachaya...

Jab Aag Se Namrud Ka Bazar Garam Tha...
Uske Karm Ne Aag Ko Murdaar Banaya...

Wo Dour Hai Kab Dil Mein Posha nasheen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai...

Mushkil Mein Jab Na Aya Nazar Koi Sahara...
Musa Ne Ankhein Band Ki Maula Ko Pukara...

Agay Tha Nil, Peeche Thi Firon Ki Faujein...
Kisne Banaya Nil Ki Maujon Ko Kinara...

Itna Kareem Rehnumaan Socho To Kaheen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai...

Halat Se Imaan Ko Tola Nahi Karte...
Allah Ke Bande Kabhi Shikwa Nahi Karte...

Ye Rasm Sikhayi Hai Hussain Ibn-e- Ali Ne...
Jidhar Sajde Mein Ho Teeron Ko Dekha Nahi Karte...

Sajdon se Jo Roshan Hai Wo Momin Ki Jabeen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hain Andher Nahi Hai...

Umeed Ka Daman Na Kisi Haal Mein Choro...
Ghabrao Nahi, Sabr Ki Deewar Na Tordo...

Taqwa Ho Agar Dil Mein To Milti Hai Khudai...
Us Zaat Bina Koun Sune Teri Duhai...

Wo Zaat Jo Har Shakhs Ki Shehrat Mein Makeen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai...

Mayoos Hota Nahi Jis Ko Yakheen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai.........!!!!!

Advertisement
· 2 Like · Jan 29, 2015 at 09:01
Category: relegious
 

Latest Posts in poetry

Good Night .
Posted by Abdul Kareem
Posted on : May 25, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS