Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Jawan raat key seeney pey dhoodhiya aanchal
Machal raha hai kisi khuwab-e-Marmareen ki tarha
Haseen phool, haseen Pattiyan, haseen shakhein
Lachak rahi hain kisi jism e nazneen ki tarha
Fiza mein khil sey gaye hain ufaq key narm khutoot
zameen haseen hai khuwabon ki sarzameen ki tarha
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

Kabhi gumaan ki surat kabhi yaqeen ki tarha
woh paidr jin key taley hum panah letey they
kharey hain aaj bhi sakit kisi ameen ki tarha

Unheen key saaye mein phir aaj dou dharaktey dil
khamosh honton sey kuch kehney sun-ney aye hain
najaney kitni kishakash sey, kitni kawish sey
yeh sotey jagtey lamhey chura key laye hain

yahi fiza thi, yahi rut, yahi zamana tha
yaheen sey hum ney mohabbat ki ibtida ki thi
dharaktey dil sey, larazti hui nigahon sey
huzoor-e-ghaib mein nanni sey ilteja ki thi

keh aarzu key kanwal khil key phool ho jayein
dil-o-nazar ki du'ain qabool ho jayein
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

tum a rahi ho zamaney ki aaankh sey bach kar
nazar churaye huey aur badan churaye huey
khud apney qadmon ki aahat sey jheenpti, darti
khud apney saaye ki junbish sey khof khaye huey
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

rawaan hai choti si kashti hawaon key rukh par
nadi key saaye pey mallaah geet gata hai
tumhara jism har ik lehr key jhakoley sey
meri khuli hui baahon mein jhool jata hai
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

mein phool taank raha hoon tumharey jorey mein
tumhari aankh musarrat sey jhukti jaati hai
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

merey galey mein tumhari gadaaz baahein hain
tumharey honton pey mairey labon key saaye hain
mujhay yaqeen key hum ab kabhi na bichraingey
tumhein gumaan key hum mil key bhi paraye hain
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

merey palang pey bhikri hui kitabon ko
adayey ijz-o-karam sey utha rahi ho tum
suhaag raat jo dholak pey gaye jatey hain
dabey suron mein wohi geet ga rahi ho tum
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

Woh lamhey kitney dilkash they, Woh garhyaan kitni pyari theen
woh sehrey kitney nazuk they, Woh laryan kitni pyari theen
Basti ki har ik shadaab gali, khuwabon ka jazeera thi goya
har moj e nafas haz moj e saba, naghmon ka zakheera thi goya

Nagaah lehektey khaiton sey taapon ki sadayein aaney lageen
Barood ki bojhal boo leykar picham sey hawayein aaney lageen
Tameer key roshan chehrey par takhreeb ka badal phail gaya
har gaon mein vehshat naach uthi, har sheher mein jangal phail gaya

Maghrib key muhazzib mulkon sey kuch khaki wardi posh aye
ithlatey huey maghroor aye, lehratey huey madhosh aye

Khamosh zameen key seeney mein khaimon ki tanabein garhney lageen
makhan si mulayim raahon par booton ki kharashein parney lageen
faujon key bhiyanak baind taley charkhon ki sadayein doob gayeen
jeepon ki sulagti dhool talley phoolon ki qabayein doob gayeen

Insaan ki qeemat girney lagi, ijnaas key bhao charney lagey
chopal ki ronaq ghatney lagi, bharti key dafatir badrhney lagey
basti key sajeeley shokh jawaan ban ban key sipahi janey lagey
jis raah sey kam he lot sakey us raah pey raahi janey lagey
Un janey waley daston mein ghairat bhi gayee barnai bhi
maaon key jawaan betay bhi gaye, behnon key chaheetey bhai bhi

Basti pey udhasi chaney lagi, mailon ki baharein khatm hueen
Aamon ki lachakti shakhon sey jhoolon ki qatarein khatm hueen
dhool udrney lagi bazaron mein, bhook ugney lagi khalyanon mein
har cheez dukanon sey uth kar ruposh huee teh-khanon mein
badhaal gharon ki badhaali barhtey barhtey janjaal bani
mehengai barh kar kaal bani, sari basti kangaal bani

charwahian rasta bhool gayeen, pinharian panghat chor gayeen
kitni he kanwari ablayein maan baap ki chokhat chor gayeen

Aflaas zada dehqanon key hal bail bikey, khalyaan bikey
jeeney ki tamana key haaton, jeeney k

Advertisement
· 1 Like · Jan 10, 2015 at 03:01
Category: political
 

Latest Posts in poetry

No One Likes Me.
Posted by qaisar mahmood
Posted on : Mar 17, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS