Poetry / Love

Nadeem Moti

Gham Ki Taweel Qaid Se Mujh Ko Rehai De

gham ki taweel qaid se mujh ko rehai de
kuch din agar woh chaand sa chehra dikhai de

taweez aisa de koi apnay mureed ko
murshid woh mere hath mein apni kalai de

· 2 Like · Mar 21, 2018 at 15:03
Category: love
 
Poetry / General

Asiya Faheem

Badi Dilchasp Ghaflat Hogai

badi dilchasp ghaflat hogai hai
achanak uss se ulfat hogai hai
gham e jana bhi go ikk hadsa hai
gham e dora se fursat hogai hai

· 2 Like · Mar 21, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / General

Maleeha Bukhari

Hamesha Hi Nahe Rehtay Kabhi Chehray Naqabon Mein

hamesha hi nahe rehtay kabhi chehray naqabon mein
sabhi qirdaar khultay hian kahani khatam honay par

· 2 Like · Mar 21, 2018 at 03:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Saiqa Bukhari

Nah Hum Rahay Dil Laganay Ke Qaabil

na hum rahay dil laganay ke qaabil
na dil raha gham uthanay ke qabil
teri yadon ne diye itnay zakham
chhora na muskranay ke qaabil

· 2 Like · Mar 20, 2018 at 21:03
Category: sad
 
Poetry / General

Wafa Chaudhry

Muhabbat Dekh Li Mein Ne Zamany Bhar Kay Logon Ki

Muhabbat Dekh Li Mein Ne Zamany Bhar Kay Logon Ki,
Jahan Kuch Daam Ziyada Hoon, Wahein Insan Bikta Hai.!

· 2 Like · Mar 20, 2018 at 15:03
Category: general
 
Poetry / General

Bushra Shah

Googni Hogai Aaj Kuch Zaban Kehtay Kehtay

· 1 Like · Mar 20, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / General

Ameera Gul

Wo Jo Khud Pairvi E Ahd E Wafa Karta Tha

Wo jo khud Pairvi-e-Ahd-e-wafa karta tha
Mujh se milta tha....tou Talqeen-e-wafa karta tha
Uss k Daaman mein koi phool nahi meray liye
Jo meri Tangi-e-Daamaan'' ka Gila karta tha
Aaj jo uss ko Bulaya tou wo Gumm-Summ he raha
Dil dharaknay ki jo awaz suna karta tha
Aaj wo meri har ikk baat k ma''ani poochay
Jo meri soch ki tafseer likha karta tha
Uss ki Dehleez pe sadiyon se kharra hoon ''Mohsin''
Mujh se milnay ko jo Lamhaat gina karta tha.
.
MOHSIN NAQVI

· 2 Like · Mar 20, 2018 at 03:03
Category: general
 
Poetry / General

Sadaf Faiz

Saaray Khilonay Chore Kar, Jazbaat Se Kheltay Hain Log

saaray khilonay chore kar, jazbaat se kheltay hain log

· 1 Like · Mar 19, 2018 at 20:03
Category: general
 
Poetry / General

Iqra Raheem

Bus Yahi Dore Hai Iss Dore Ke Insanon Ki

Bus yahi dore hai iss dore ke insanon ki
teri deewar se oonchi meri deewar banay

· 1 Like · Mar 19, 2018 at 14:03
Category: general
 
Amazing and creative sculpture
Posted by saiqa bukhari
Posted on : Sep 28, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS