Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

tapish hai kaisi December ki in hawaaon mein
sulag raha hai yahan badan bhi to chaaon mein

na aaya laut k aur intizaar chhor gaya
kahan talaash krain uss ko ab khalaaon mein

na daikha uss nay palat kr na meri baat suni
KHUDAYA itna asar bhi nahi sadaaon mein!!!

hansi dikhawa hai, rishta hai aansoon say mera
k mera janam hua hai inhi ghataaon mein

nazar mila k jitayee hui ghazab Ulfat
shumaar hum ko kiya uss nay bewafaaon mein

luta hai koi, kisi ka hua hai qatl yahan?
lahoo barasta hai sawan ki kiyon ghataaon mein?

wafa bhi jurm hai saghar k hai gunah-e-azeem
kari hai iss ki saa dahr ki sazaaon mein

Advertisement
· 1 Like · Mar 10, 2016 at 03:03
Category: occassional-events
 

Latest Posts in poetry

Cake Decorator
Posted by Interesting Videos
Posted on : Jan 27, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS