Poetry / Occassional Events

Dil yeh kahta hay
Eid tum ne khub manayi ho gi
Bhula kar pardees ko
Mehfil eish bhi sajayi ho gi

Bichre huwe is badnaseeb ka
Khayaal bhi aya ho ga
Jab maang tum ne apni sitaroon
Se sajayi ho gi

Chand lamhe mazi ki yaad main
Khoye to ho ge
Jab aiyne ko tum ne shakal apni
Dekhayi ho gi

Do aansuon ne bhi rukh_e_zeba ko
Chuma to ho ga
Guzri hui yaad Eid jab tum ko
Ayi ho gi

Jab kahi apnon ko tum ne bhi
Milte to dekha ho ga
Tasawour main tasveer tum ne
Bhi banayi ho gi

Eid ka din hay
Khushyon main gum kar lo khud ko
Yeh samjh kar k is main bhi
Bahlayi ho gi

Tum khush raho ge idar bhi ho ga
Sukh naseeb
Warna samjh lo yeh aankh
Yahan bhi bhar ayi ho gi

Kismat ko jo huwa manzoor
To ho ga kabhi wasaal Eid
Is din chaand sitaroon ne bhi
Mehfil sajayi ho gi

Hans kar zara ab tasawour
Feda main chale aoo
Jab samjh lo k ab main ne
aankh melayi ho gi

Advertisement
· 1 Like · Oct 21, 2014 at 15:10
Category: occassional-events
 

Latest Posts in poetry

'The Prince' Trailer
Posted by Hollywood Movie Trailers
Posted on : Jul 19, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS