Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
December Ab Kay Aao To
Tum Uss Shehr-E-Tamanna Ki Khabar Laana
Kay Jis Main Jugnoon Ki Kehkashaain Jhilmilaati Hain
Jahan Titlee Kay Rangoon Sey Fazaain Muskuraati Hain
Wahan Chaaron Taraf Khushboo Wafa Ki Hai
Aur Uss Ko Jo Bhi Pouron Sey
Nazar Sey Chhoo Gaya Pal Bhar
Mehek Uthaa
December Ab Kay Aao To
Tum Uss Shehr-E-Tamanna Ki Khabar Laana
Jahan Per Rait Kay Zarey Sitaarey Hain
Gul-O-Bulbul, Maah-O-Anjum Wafa Kay Istiaarey Hain
Jahan Dil Woo Samander Hai , Jiss Kay Kaee Kinaarey Hain
Jahan Qismat Ki Daive Muthiyon Mein Jagmagaati Hai
Jahan Dharkan Ki Lay Per BeKhudi Nagmein Sunaati Hai
December Hum Sey Na Poocho Hamaarey Sheher Ki Baabat
Yahan Aankhoun Mein Guzrey Kaarwaan Ki Gard Thehri Hai
Labon Per Al-Atsh Hain, Baton Mein Faaqey Pinaptey Hein
Muhabbat Barff Jaisee Hai Yahaan
Aur Dhoop Kay Khaitoun Mein Ugti Hai
Yahan Jab Subah Aati Hai
Tou Shab Kay Saarey Sapney
Raakh Kay Aik Dhair Ki Soorat Mein Dhaltey Hein
Yahan Jazboun Ki Tooti Kirchiyaan Aankhoon Mein Chubhti Hain
Yahan Dil Kay Lahoo Mein
Apne Laikhon Ko Dabo Ker Ham
Sunehray Khwaab Buntey Hein
Phir Unn Khwaaboun Mein Jeetay Hein
Inhi Khwaaboun Pey Martey Hein
Dareedah Rooh Koo Lafzoon Sey Seena Goo Nahin Mumkin
Magar Phir Bhi
December Ab Kay Aaooo Tu
Tum Uss Shehr-E-Tamanna Ki Khabar Laana.....!!!

Advertisement
·
1 Like ·
Nov 03, 2015 at 17:11
Category: occassional-events
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video