Poetry / Love

yeh jo raig-e-dasht-e-firaq hai yeh ruke agar
yeh ruke agar to nishaaN mile,
yeh nishaaN mile
k jo faslooN kii saleeb hai
yeh gaarii hui hai kahaaN kahaaN
mere asmaN se kidhar gayii tere iltefaat ki kehkashaaN

mire be_Khabar, mire be nishaaN
yeh ruke agar to pata chale
maiN thaa kis nagar tuu rahaa kahaaN
k zamaan o makaaN ki yeh wusataiN
tujhe dekhne ko taras gayein
voh mere nasiib ki baarisheN
kisi aur Chhat pe baras gayein

mere chaar suu hai ghubaar-e-jaaN,
voh fishaar-e-jaaN,
k Khabar nahiiN mere haath ko mire haath kii
mere Khwaab se tere baam tak
tare rehguzar ka to zikr kya
nahiiN zaufishaN tere naam tak
haiN dhuaaN dhuaaN mire ustKhwaaN
mere aansuuoN meN bhuje hue mire ustKhwaaN
mire naqsh gar mire naqsh-e-jaaN

isii raig-e-dasht-e-firaaq meN rahe muntazir
tere muntazir!!!
mere Khawab jin ke fishaar meN
rahi mere haal se beKhabar teri rehguzar
tare rehguzar ke jo naqsh haiN mire haath par
magar is balaa ki hai tiirgi
k Khabar nahiiN mere haath ko mere haath ki
voh jo chashm-e-shobadaa saaz thii, woh uThe agar
mere ustKhwaaN meN ho roushni
ussi ek lamha-e-diid meN teri rehguzar!!
meri teera jaaN meN chamak uThe
mere Khawab se tairay baam tak,
sabhii manazroN meN damak uThhe
usii ek pal meN ho jaavidaaN
meri arzoo k hai bekaraaN
meri zindagi k hai muKhtasar

yeh jo raig-e-dasht-e-firaq hai, yeh ruke agar
yeh ruke agar

Advertisement
· 1 Like · Dec 20, 2016 at 13:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Kalonji Ghar Ki Muhafiz
Posted by sarmad ali
Posted on : May 29, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS