Poetry / Love

Muzammil Shahzad

wohi baarish ka mausam hai
wohi barsey huay gham hain
wohi naadan sey hum hain
wohi kaaghaz ki kashti hai
wohi paani ka raila hai
merey bachpan zra dekho
wohi phir khel khela hai
wohi kashti banayi hai
woh paani par chalaye hai
hamain lagta hai phir se hum
usi kashti mein bethay hain
magar bilkul akelay hain
tumhain kuch yaad hai jana
woh kaaghaz ki bani kashti
kahan kab paar jaati hai
hamesha toot jaati hai
chalo waada kiya tum sey
chalo waada nibhayen gay
faqat tum paar utro gay
faqat hum doob jaayen gay
tumhen kuch yaad hai jana?

Advertisement
· 1 Like · Mar 27, 2017 at 06:03
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Exames.
Posted by Abdul Qaddoos
Posted on : Oct 12, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS