Poetry / Love

Woh aik masoom si chahat, woh aik bay naam si ulfat

woh meri zaat ka hissa, woh meri zaat ka qissa

mujhay mehsoos hota hai, woh mairay paas hai ab bhi

woh jab jab yaad aata hai, negahon mein samata hai


zabaan khamosh hoti hai, magar yeh aankhh roti hai

mein khud say puuch laita hon, jisay mein yaad karta hon

usay kya pyar hai mujh say, jawaab haan soch laita hon

usay bhi pyar hai shayad. ..

issi shayad say wabsta hai ab tou har khushi meri

yahi aik lafz shayad ban gaya hai zindagi meri.

Advertisement
· 1 Like · Jul 14, 2017 at 07:07
Category: love
 

Latest Posts in poetry

ecommunity sustainable urban development
Posted by iJunoon
Posted on : May 21, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS