Poetry / Love

Muzammil Shahzad

haseen lagta tha hum ne jin dino mein usko dekha tha
basanti mosamon , bheegi ruton mein usko dekha tha

usi k aks ne ankhain khumaar-e-khuvaab se bhar deen
chamaktey chaand jesey aaiino mein usko dekha tha

jisey ab rait k kachey gharondon se mohabbat hai
sumander k sunehrey paniyun mein usko dekha tha

jo tanhayee ki chadar orh kar sota hai rasston mein
kabi is shehar ki sab mehfilon mein usko dekha tha

bagolon ko pehan kar ab jo sehra mein bhatakta hai
gulab-o-yasmeen k junglon mein usko dekha tha

jo apney qarya-e-dil ki udasi se behalta hai
ghataon mein ghiri gum bastiyun mein usko dekha tha

zaroorat hai jisey ab dhoop ka ujla kafan Mohsin
badan par baraf orhey parbaton mein usko dekha tha

Advertisement
· 1 Like · Feb 14, 2018 at 00:02
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Choo Cha - 'Paisa Yaar N Panga'
Posted by Punjabi Music Videos
Posted on : Sep 17, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS