Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Musalsal Sooch Main Rehna
Kisi Say Kuch Nahi Kahna
Kisi Gooshay Main Chup Kay
Khud Say Mehw-E-Guftgu Rehna

Achanak Dil Main Koe Metha Metha Dard Uthna
Bay Sabab Bay Cheen Ho Jana
Akelay Beth Kay Roona
Kaee Raatain Nahi Soona
Wo Pehron Bethay Bethay
Janay Kis Manzer Main Kho Jana
Kisi Aahat Kisi Bhi Chaap Say
Phir Choonk Si Perna
Meray Saaey Ay Bachana
Samnay Aanay Say Katrana

Suno Pagal Si Ae Larki
Kahi Or Ankahi Kay Dermiyan
Sooli Pay Latki Ho
Tumhain Maloom Hay Tum Jaan Kar
Manzil Say Bhatki Ho?
Yea Mana Tum Bohat Khuddar Ho
Per Yea Haqeeqat Hay
Ana Ik Had Tak Achi Hay
Magar Is Had Kay Aagay
Yea Mehaz Ik Khud Farebi Hay
Azeeyat Sah Rahi Ho Or Chup Ho
Kia Qiyamat Hay
Tum Akhir Kyun Nahi Kehtin
Tumhain Mujh Say Muhabbat Hay.

Advertisement
· 2 Like · Aug 24, 2016 at 13:08
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS