Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tairay khushboo mein basay khat main jalata kaise
Pyar mein doobay hue khat main jalata kaise
Tairay hathon k likhay khat main jalata kaise


Jin ko dunia ki nigahon se chupaye rakha
Jin ko ek umar kalaijay se lagay rakha
Deen jin ko jinhein Imaan banay rakha
Tairay khushboo mein basay khat main jalata kaise


Jin ka har lafz mujhy yaad paani ki tarha
Yaad they mujh ko jo paigham-e-Zubaani ki tarha
Mujh ko pyaray they jo anmol nishani ki tarha
Tairay khushboo mein basay khat main jalata kaise


Tu ne dunia ki nigahon se jo bach kar likhay
Saal ha saal mere naam barabar likhay
Kabhi din mein to kabhi raat ko uth kar likhay
Tairay khushboo mein basay khat main jalata kaise


Pyar mein doobay hue khat main jalata kaise
Tairay hathon k likhay khat main jalata kaise
Tairay Khat aaj main ganga mein baha aaya hun
Aag behtay hue paani mein laga aaya hun

Advertisement
· 1 Like · Apr 10, 2017 at 15:04
Category: love
 

Latest Posts in poetry

CIRCLE OF LIFE.
Posted by Moiz Arshad
Posted on : Jun 14, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS