Poetry / Love

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain
So Hum Bhi Hoslay Apnay Jigar Kay Dekhtay Hain

Ragon Men Dourta Phirta Hai Wo Lahu Ban Kar
Usay Hum Apnay He Dil Men Utar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Sabr Say Jo Bhi Milay Wo Nourus Hai
So Hum Bhi Zaiqay Apnay Samar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Us Kay Bhi Dil Men Khayal Paltaay Hain
So Es Khayal Ko Tehreer Kar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Us Ki Maseehai Ka Hai Rang Juda
So Aaj Hum Bhi Hawa Men Bikhar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Uski Nigaahen Bhi Shair Kehti Hain
So Aaj Hum Bhi Qareenay Nazar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Zoam Hai Usko Kuch Apnay Khowabon Par
So Us Kay Khvab Ko Tabeer Kar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Muunh Say Jo Niklay Qabool Hota Hai
So Hum Bhi Moajzay Lail e Qadr Kay Dekhtay Hain

Wo BayWafa Hai Usay Pas e Ishq Raas Nahi
Muhabbaton Say Hum Apni Mukar Kay Dekhtay Hain.

Advertisement
· 1 Like · Jun 13, 2017 at 08:06
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Epic Pray!
Posted by qaisar mahmood
Posted on : Nov 03, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS