Poetry / Love

Main apni soch ki har soch mein yehi sochun
Na janay tujh se aqeedat ka kon sa bandhan hay
Hai chahton ka taaluq ya dosti ki girah
Ya koi rishta-e-subh-e-azal hai roohon ka
Ke raat din teri sochon mein mast rehta hun
Main teri yaad k unmit naqoosh mein dooba
Youn tere pyar ki mojon mien mast rehta hun
Teray khyal ko meraj-e-ashiqi samjhun
Teray jamal ko meraj-e-shayri samjhun
Teray wisal ko meraj-e-zindagi samjhun
Magar main soch soch kar sochun
Ke tera hijr bhi aye ga aik din akhir
To mere zehn ki sub kehkashayen tooten gi
Na tere qurb k lamhaat laut payen ge
Na teri yaad ki ye kashtiyan hi doobe gi
Magar main husn-e-azal se sada dua go hun
Mere khuda mere dil ki ye iltija sun le
K ab ki baar jo lamhat-e-qurb-e-yaar ayen
Tamam aalam-e-mojood bhi gawahi de
Hum aik dosray ko dekhtay rahen shahi
Na dharkanon ki sada tak hamen sunai de
Mujhe jo qurb ki lazzat se ashna kar de
Wo raat lakhon baras pe muheet ho jaey
Tu aisi subho k sooraj ko andha kar dena
Jo mere yaar ko mujh se chura k le jaey....!

Advertisement
· 0 Like · Dec 02, 2017 at 00:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Triceratops horridus skeleton
Posted by iJunoon
Posted on : Feb 14, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS