Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Udas dil ki udas batain
samjhnay wala koi to hota
K jis ki baton se dil sambhalta
k jis ki sangat me dil behalta
Jis ki hlki si ik jhalak bhi
hmare dukh ko smait leti
Falak se khushiyan undail deti
YA
uski nazuk si muskurahat
Hmare dil ki sabhi thakawat ko door krti
Ya phir chamkti wo aankhain uski
Hmari hasti ka raaz hotin
Hmare dukh ki ktab hoti
Jo humko chahta, hum ko parhta
Guzarte lamhon ki sakhtiyon me
Koi to nazuk mizaj hota

KOI TO HOTA

Advertisement
· 4 Like · Apr 15, 2017 at 06:04
Category: love
 

Latest Posts in poetry

This is going to be real challenge.
Posted by maryam rauf
Posted on : Feb 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS