Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tu bata dil-e- betaab, kahan aate hain,
Humko khush rehne ke aadaab kahan aate hain

Main to yakmusht usse saunp doon sab-kuch lekin
Ek muthi mein mere khwaab kahan aate hain

Muddaton baad tujhe dekh ke dil bhar aaya
Warna sehraon mein selaab kahan aate hain

Meri bedaar nigahon mein agar bhuule se
Neend aaye bhi to ab khwaab kahan aate hain

Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mee noshi hai
Hosh mein ab tere betaab kahan aate hain

Hum kisi tarah tere dar pe thikana kar lein
Hum faqeeron ko ye aadaab kahan aate hain

Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi
Ab muyassar hamein woh khwaab kahan aate hain

Advertisement
· 2 Like · Apr 14, 2017 at 14:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Hidden Wheelchair Lift
Posted by Interesting Videos
Posted on : Dec 17, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS