Poetry / Love

Khud apne liye beth ke sochenge kise din
yuun hai ki tujhe bhuul k dekhenge kisi din
bhatke hue phirte hain kai lafz jo dil men
duniyaa ne dia waqt to likhenge kisi din
hil jaayenge ik baar to arshon k dar-o-bam
ye Khaak nasheen log jo bolenge kisi din
apas ki kise baat ka miltaa hii nahi vaqt
har baar ye kehte hain k baithenge kisi din
jaan teri yaad ke be naam parinde
shaakhon pe mere dard kii utrain ge kisi din
jaati hai kisi jheel ki gehrai kahaan tak
aankhon men teri Doob ke dekhenge kisi din
Khushbuu se bhari shaam men jugnuu k qalam se
ik nazm tere vaaste likhen ge kisi din
soyenge teri aankh ki Khilvat men kisi raat
saaye men teri zulf k jagen ge kise din
Khushbuu ki tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa se
galiyon se tere shahar kii guzren ge kise din
Amjad hai yahi ab ke kafan baandh k sar se
us shahar-e-sitamgar men jaayenge kisi din

Advertisement
· 1 Like · Jul 05, 2017 at 15:07
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS