Poetry / Love

Mohammad Asif

Khizan kay mousam sey gulaab maang raha hai
phir apney liye koi azab maang raha hai

Jaan mangta to mein zara taghaful na karta
magar woh mujh se mere khawab maang raha hai

Ataa kar k mere zeest ko hijr ki aziyatien
aur mujh se visaal-e-rut k hisaab maang raha hai

Khataien karna hi raha mashghala uss ka
mein kiya doon sila ussey woh sawab maang raha hai

Apni samjh mein uss ki guftagu bhi nahi aati
aur woh ankahey sawaloon kay jawab maang raha hai

Mujh ko apney wajood pe bhi dastaras nahi hasil
aur dil-e-nadan hai mehtaab maang raha hai

Koi zindagi se ghabra gaya iss qadar
kashti ka musafir hai aur gardaab maang raha hai

Advertisement
· 2 Like · Nov 04, 2018 at 11:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Sab ki Nijaat Maango
Posted by zeeshan kaliya
Posted on : Jun 26, 2021

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS