Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kaho To Loot Jatay
Abhi To Baat Lamhoun Tak Hay, Saalon Tak Nahi Aaee
Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi, Naalon Tak Nahi Aaee
Abi To Koi Majboori, Khyaalon Tak Nahi Aaee
Abhi To Gard Pairon Tak Hay, Baalon Tak Nahi Aaee
Kaho To Loot Jatay
Chalo Ik Faisla Karnay Shajar Ki Orh Jatay
Abhi Kaajal Ki Dorie, Surkh Gaalon Tak Nahi Aaee
Zabaan Daanton Talak Hay, Zehar Peyaalon Tak Nahi Aaee
Abhi To Mushk-E-Kastoori Ghazaalon Tak Nai Aaee
Abhi Roodaad-E-Bey Unwaan, Hamaray Dermeyan Hay
Dunyaa Waalon Tak Nahi Aaee, Kaho To Loot Jatay
Abhi Nazdeek Hain Ghar Or Manzel Door Hay Apni
Wo Baada Naar Ho Jaee Yea Hasti Noor Hay Apni
Kaho To Loot Jatay
Yea Rasta Peyaar Ka Rasta Rasam Ka Daar Ka Rasta
Bohat Dushwaar Hay Jaana
K Is Rastay Ka Har Zarra Bhi, Ik Kohsaar Hay Jana
Kaho To Loot Jatay
Maray Baaray Na Kuch Soocho, Mujhay Tay Karma Aata Hay
Rasam Ka Daar Ka Rasta ,
Yea Aasaibon Bhra Rasta,
Yea Andhi Ghaar Ka Rasta,
Tumhara Narm-O-Nazuk, Haath Ho Ger Meray Hathon Main
To Main Samjhon K Jasay Do Jahan Hain, Meri Muthi Main
Tumhara Qurb Ho To, Mushkilain Kafoor Ho Jaee
Yea Andhay Or Kaalay Raastay, Pur Noor Ho Jaee
Tumhaaray Gesoun Ki Chaaoun Mil Jaey,
To Suraj Say Ulajhna Baat Hi Kia Hay
Utha Lo Apna Saya Tum, Meri Ooqaat Hi Kia Hay
Maray Baaray Na Kuch Soocho, Tum Apni Baat Batlaoo
Kaho To Chaltay Rehtay Hain, Kaho To Loot Jatay Hain
Kaho To Loot Jatay Hain
Kaho To Chalte Rehte Hain

Advertisement
·
1 Like ·
Aug 23, 2016 at 18:08
Category: love
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video