Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko

Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayee Zamaane Ko

Sunaa Hai Gair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaoge

kaho Toh Aaj Saja Lun Garib Khaane Ko

Duaa Bahaar Ki Maangi Toh Itane Phul Khile

Kahi Jagaah Na Mili Mere Aashiyaane Ko

Chaman Mein Jaana Toh Sayyaad Dekh Kar Jaana

Akele Chhor Kar Aayaa Hun Aashiyaane Ko

Meri Lahad Pe Patangon Ka Khoon Hota Hai

Huzur Shama Na Laaya Kare Jalaane Ko

Dabaa ke Qabra mein Sab Chal Diye Duaa Na Salaam

Zaraa Si Der Mein Kya Ho gaya Zamaane Ko

Ab Aage Is Mein Tumhaara Bhi Naam Aayega

Jo Hukm Ho To Yahii Chhod Dun Fasaane Ko

Qamar Zaraa Bhi Nahi Tumko Khauf-e-Rusvaai

Ke Chandani Pe Chale Ho Unhe Manane Ko

Qamar Jalalabadi

Advertisement
· 1 Like · Mar 01, 2018 at 20:03
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Ehtyat
Posted by Abdul Rasheed
Posted on : Apr 17, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS