Poetry / Love

kabhi hum khubsurat thay

Kitaboon main basi
Khushbo ki manend
Sans sakin thi
Bohut se ankahe lafzoon se
Tasveren banaty thay
Kabhi hum khubsorat thay.
Prindoon k paron par nazm likh kar
Dour ki jhiloon main basne wale
Logoon ko sunaty thay
jo hum se dour thay lekin
Humare paas rahty thay
Naye din ki musafat jab kiran k
Saath ahngan main utarti thi
To hum kahty thay ammi titliyon k par
Bohut hi khubsorat hain
Humeen mathe peh bosa do k hum ko
Titliyon k jugnoon k des jana hay
Humeen rangoon k jugnoon
Roshni ki titliyan awaz deti hain
Naye din ki musafat rang main dubi
Hawa k saath khirki se bulati hay
Humeen mathe peh bosa do

Advertisement
· 1 Like · Dec 21, 2014 at 19:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Barbie?
Posted by Simran Chaudhry
Posted on : Feb 29, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS