Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mom ki tarah pighaltay hue dekha us ko
Rut jo badli tu badaltay hue dekha us ko

wo jo kanton ko bhi narmi se chhua kerta tha
Hum ne pholon ko masaltay hue dekha us ko


Janay kis gham ko chupanay ki tamana hai usay
Aj har baat pe hanstay hue dekha us ko

Janay wo mangnay jata hai duaaon mai kisay
Hath uthatay hi sisaktay hue dekha uss ko

Advertisement
· 1 Like · May 29, 2017 at 04:05
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Texi.
Posted by faisal razzaq
Posted on : Nov 09, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS