Poetry / Love

Ishq junoon bhi hai sanjeedgi bhi hai

Yeh hawis bhi hai paqeezgi bhi hai

Shokhi bhi hai ishq-

Baanki adaaon peh lutnay ka naam bhi hai

Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh bhi-

Zindagi ko samjhnay ka naam bhi hai

Ishq masroofiat bhi fursat bhi hai

Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai

Ishq rifat bhi aur wusat bhi hai

Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai

Yeh masoomiyat bhi rukhshandgi bhi hai

Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai

Zamin bhi hai aur aasman bhi hai

Magar ufaq ka ismay nishan bhi hai

Kabhi bistar ki salwaton sa-

To kabhi mandir ki moorton sa

Kabhi uryaanion ka shaida

To kabhi mere-o-mariam ki soorton sa

Ishq rog bhi magar mudawa bhi hai

Ishq parastish bhi magar daawa bhi hai



Rishton say sada juda hai ishq

Isliyay hi bana khuda hai ishq


Advertisement
· 1 Like · Nov 21, 2014 at 20:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Rose Telephone Set
Posted by memoona aqeel
Posted on : Oct 28, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS