Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Hum Aftaab Se Dhaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Khud Apni Agg Mai Jaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Jo Sang Tout Na Paye Jahan Ki Kosish Se
Humaray Ghum Mai Pighaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Tabahiyoon Pay Humari Jo Kal Tak Khush Thay
Sunna Hai Hath Wo Maltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Tumhari Raah Mai Ankhain Bichaa Rahay Thay Kabhi
Jo Ajj Raah Badaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Bulandiyoon Pay Na Dhoondho Kay Johar-e-Nayaab
Zamee'n Ki Goud Mai Paltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Zamaana Jaisay Behalta Hai Meri Jaan Hum Se Bhi
Usi Terha Se Behaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Hum Aabb-e-Saaim Ki Manind Sari Raat Adeel
Bina Tumharay Machaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Advertisement
· 1 Like · Mar 16, 2016 at 20:03
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Dunya ka Maal-o-Asbaab
Posted by Amin Lakhan
Posted on : Dec 20, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS