Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Dharak Raha hay Mera Dil Teray Tasawur se
k ek pal nahi Ghafil Teray Tasawur se

wagarna aur toh kuch bhi nahi hay duniya main
Sajaye baithay hain Mehfil Teray Tasawur se

har aik dard zamanay ka heech lagta hay
k ghum hoe hain woh haasil Teray Tasawur se

humari zeest main kantay thay har taraf Jana
k phool ho gaye shaamil Teray Tasawur se

Main sochta tha shab e wasl kaisi hoti hay
so hal hoyi hay yeh mushkil Teray Tasawur se

har aik lamha Tujhay baykhudi se sochtay hain
mili hay hum ko yeh manzil Teray Tasawur se

shab e firaaq k sab dard jhail letay hain
hoye hain Hum kisi Qaabil Teray Tasawur se

Sakoot e marg Mere chaar su tha chaya huwa
Main jee utha Meray Qaatil! Teray Tasawur se

yeh iss tarah mujhay apna kabhi khayaal na tha
huwa hon khud pe bhi mayel Teray Tasawur se

Advertisement
· 2 Like · Mar 13, 2017 at 09:03
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS