Poetry / Love

Mohammad Asif

Bohat he muddat kay baad jab
Kitab-e-Mazi ko mainay khola
Bohat say cheray nazar main utray
Bohat say namoun pay dil paseeja
Aik aisa safa bhee is main aya
Likha houa tha jo ansoouon say
Kay jis ka unwan "HUM SAFAR" tha
Jo safa sab say he moutabir tha
Kuch or ansoo phir is pay tapkay
Phir iss say agay main par na paya
Kitab-e-Mazi ko band kar kay
Thumari yadoun main kho gaya main
Agar tou milta tou kaisa hota
Inhee khayaloun main soo gaya main..,

Advertisement
· 1 Like · May 10, 2016 at 10:05
Category: love
 

Latest Posts in poetry

So Alone :P
Posted by afza altaf
Posted on : Jun 11, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS