Poetry / Love

Hammad Yousuf

Bin pooche hii kissi se mohabbat hone lagi hai
Shayad kissi ki dil ko aadat hone lagi hai
Tasweer uski nazaron mein busne lagi hai
Pal pal mujhe ab wo churane lagi hai

Bin pooche hii kissi se mohabbat hone lagi hai
Koi to hai jo kawaabo mein khayal bann kar aane lagi hai
Koi to hai jo lafzon mein sawaal bann kar aane lagi hai
Koi to jaadu ab wo dil per karne lagi hai

Bin pooche hii kissi se mohabbat hone lagi hai
Koi to hai jiski khaber pal pal dil ko rehne lagi hai
Ab woh mujhe akely mein hasane lagi hai
Har pal mujhe woh satane lagi hai

Bin pooche hii kissi se mohabbat hone lagi hai
Har morr per kahiin na kahiin woh dikhne lagi hai
Chalte chalte rasta bhulane lagi hai
Shayad uske liye hii aankiyaan raatoon ko jagne lagi hain

Bin pooche hii kissi se mohabbat hone lagi hai
Beger dekhay hii uski tariff zaban se hone lagi hai
Chahat ki kaliyaan uske liye dil mein khilney lagi hain
Shayad uski hii doori mujhe ab rulane lagi hai

Bin pooche hii kissi se mohabbat hone lagi hai
Shayad uske milne ki nishani hai ye

Advertisement
· 1 Like · Jun 07, 2015 at 16:06
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Aamaal bagair ikhlas ke aisay hi hain.
Posted by Luqman Mali
Posted on : Sep 02, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS