Poetry / Love

Jalaluddin Ahmed

Be rehem hawaon mein; Ajnabi manaazir mein; Iss dil-e-musaafir ko Koi gham nhi kyun keh; Mushkilon mein bhi apna Raabta to Rab se hei; Aur jaanay kub se hei; Maadiyyat ki duniya mein; Khwahishon keh jungle mein; Kis sukoon se mera; Be qaraar dil thehra ; Be panaah adab se hei; Aur jaanay kub se hei ; Dil sada ka baaghi hei; Sirf khud se raazi hei ; Be fikar jahan se hei; Per hei ussko darr jitna; Bus Tere ghazab se hei ; Aur jaanay kub se hei; Mujhko aankh khulne se; Kuchh nazar nhi aata ; Meri band aankhon mein ; Aaj jalwa gar ho ja; Mein ne tujh ko socha hai Ik ajeeb dhubb se hei; Aur jaanay kub se hei ; Sub se hi shanasaai; Aur khud mein tanhaai; Kya ajab paheli hei ; Zindagi ka rishta bhi Ustawaar sub se hei ; Aur jaanay kub se hei; Muntazir wahan tu hei; Muntazir yahan mein hun; Ab hijaab pulta de ; Mein ne Tere baaray mein Sun rakha to sub se hei ; Aur jaanay kub se hei; Jab kbhi bhi jaana hei Uss ki simt jaana hei; Rooh or Khuda k beech Abdiyyat ka yeh rishta; Bus issi sabab se hei; Aur jaanay kub se hei; Dil jab Uss se lagta hei; Phir sukoon milta hei ;Kaatna nigaahon mein Raat ka kahan mushkil ; Dosti to apni bus Iss charaagh e shab se hei; Aur janay kub se hei ; Noor ki Tajalli ho ; Dil ko ik tasalli ho; Mujh pe bus karam itna; Kuchh zarur ho jaey; Rooh k andheron mein Koh e toor ho jaey ; Munfarid ye bashar... apni Bus issi talab se hei.

Advertisement
· 0 Like · Apr 18, 2018 at 09:04
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS