Poetry / Love
Wo khayal tha koi dhanak numa ya koi aks tha merey rubaru
jo mujhey har taraf sey tu laga, woh tu hi tha ya koi hu bahu
bayaan mein thi wo chaashni ke mehak raha tha harf harf
jesey khushbuon ki zubaan meiN koi kar raha ho guftagu
nahi kuch khabar ke kis gharri terey raastoN ka sira miley
terey naqsh-e-pa ki talaash meiN lagi to hey meri justuju
bas deikhna hey kis terha wo ji raha hey merey baghair
yun to dil mein hey wo aaj bhi jisey dhoondta hoon ko ba ko
yeh yaad tha ke duwa karoon par uthay rahey merey haath yun
jese khowishon ke hajoom mein kaheen kho gayi teri aarzu...!

Advertisement
·
2 Like ·
Sep 06, 2017 at 09:09
Category: love
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video