Poetry / Love

AURAt

Yeh sochte guzari hay main ne raat
Aurat hon kis tarha se karon apne dil ki baat
Kyun isi k wasty hain pabandiyan tamam
Aurat k saath mard ka wabasta kyun hay naam
Beti hay jab to baap se pehchani jati hay
Bivi bhi aik mard ki woh mani jati hay
Kiya is ki apni zaat ki pahchan hi naheen
Aurat bas aik''cheez'' hay insaan naheen
Malik tha pahly baap to shohar bana hay ab
Jina hay jis k hukam k saye main rooz o shab
Jo kuch raza thi baap ki sar ko jhuka liya
Shohar ko sar ka taaj bana kar saja liya
Aurat ki apni soch na apni pasand hay
Is par jahan zaist ki har rah band hay
Janat miley gi is ko yeh zulam sab sahy
Ho choor ya sharabi majazi Khuda kahe
Phir bhi hai khush yeh sochte huwe
Jannat milegi mard ko is k kadam tallay

Advertisement
· 1 Like · Dec 20, 2014 at 03:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Poetry / Love

Advertisement
· 1 Like · Oct 24, 2014 at 03:10
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS