Poetry / Love

Rumana Shahzad

Aap se kabhi mil na paaye hum
phir bichadne ka dar kaisa
meri har dhadkan me aap ho shamil
phir aapki judaai ka gham kaisa

deedaar-e-yaar ki khatir jee rahe hain hum
unki talaash hai ab har taraf
umr-e-tamaam kisike naam kar diya humne
ab maut se bhi hume ghabraana kaisa

aapki yaad yun zindagi ko mehka de
bahaar bankar fiza me rang bhar de
sanwaara hai mujhe aapne is kadar
k patjhad se bhi ab nazren churaana kaisa

sitaron ki mehfil saji thi har taraf
phir bhi roshni ko taras gaye the hum
mahtaab jo ban gaye aap zindagi ke
ab andheron ka humse naata kaisa

Khuda se jo maangi humne duayen
kabool kiya unhone hamaari mohabbat ko
zamana hume ab baddua de bhi toh kya
hume ab zamaane se shikayat kaisi

Advertisement
· 1 Like · Jun 18, 2015 at 11:06
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS