Poetry / Love

Udas Logon Se (Pak Old)

Udas logon se pyaar karna koy tu sekhe
Safed lamhon main rang bharna koy tu sekhe

Koy tu aaye khizan main patay ugane wala
Guloon ki khushbo ko kaid karna koy tu sekhe

Koy dekhaye mohabbton ke cherag mujh ko
Meri nigahon se baat karna koy tu sekhe

Koy tu aaye nayi ruton ka pagaam le kar
Andheri ratoon main chand banena koy tu sekhe

· 1 Like · Jul 28, 2015 at 16:07
Category: love
 
Poetry / Love

Tumain Hum Pyaar Karte Hain (Pak Old)

Chahe hamain tum thukra do ya apna bana lo

Tumain hum pyaar karte hain

Zamana hum pe marta hay

Arye hum tum pe marte hain

Mohabbat asa jazba hay

Kabhi jo kam naheen hota

Mohabbat karne walon ko

Jahan ka gham naheen hota

Arye jo pyaar karte hain

Woh kab duniya se darte hain

Ishara hay baharon ka

K hum tum aik ho jayeen

Sahara le k bahoon ka

Hum aik douje main kho jayeen

Tum jo duur rahte ho

Kasam se ahhain bharte hain

Tumare dil pe chahat ka

Najane kab asar ho ga

Idar jo haal hay apna

Najane kab udar ho ga

Tumara naam le le kar

Sanam hum jetey marte hain

· 1 Like · Jul 27, 2015 at 20:07
Category: love
 
Poetry / Love

Agar Main Bata Doon (Pak Old)

Agar main bata doon

Mere dil main kiya hay

To muj se nigaheen

Chura to na lo ge


Agar barh gayi meri

Betabi e dil

Kaheen muj se daman

Churaa to na lo ge


Zubaan chup rahe to

Nazar bolti hay

Nazar chup rahe to

Zubaan doolti hay

Koy raaz dil ka

Jo khul jaye muj se

To muj ko fasana

Bana to na lo ge


Naye se naya teer

Barsa rahe ho

Abhi to mujhe tum hi

Tarpa rahe ho

Jo main ne lagayi

Koy choot dil par

To dil ki lagi ko chupa

To na lo ge


Dikha kar umangoon ki

Gulpoush raahein

Bulaa to rahi hain

Tumari nigaheen

Mohabbat k rastye main

Jab a gaya main

Qadam apna piche

Hata to na lo ge

Agar main bata doon

· 1 Like · Jul 27, 2015 at 14:07
Category: love
 
Poetry / Love

Wahda karo (Pak Old)

Wahda karo milo ge

kal phir isi jaga

Aaye ga do dilon ko

Mulaqat ka maza


Chumain gi yeh hawayeen

Barh kar qadam tumare

Meri tara raheen ge

Bechin yeh nazare

Aaye na tum jo milne

To ho ga inhain gilaa


Tum mere humsafar ho

Tum ho mera sahara

Pal bhar ki bhi judayi

Muj ko naheen gawara

Tum hi ho meri manzil

Tum hi mera pata

Wahda karo milo ge

· 1 Like · Jul 27, 2015 at 07:07
Category: love
 
Poetry / Love

Mohabbat naam ho jaye (Pak Old)

Abhi to dil main halki si

Khalish mahsos hoti hay

Bohot mumkin hay kal is ka

Mohabbat naam ho jaye



Khayalon main yeh koun aya

Sitaroon ki chamak le kar

Mere shanoon pe bikhere hain

Yeh kis ki zulf k saye

Bohot mumkin hay kal is ka

Mohabbat naam ho jaye



Yeh kasi beykhudi hay

Dil main kaisa kaif chaya hay

Yeh meri jaagti aankhon main

Kaise khuwaab lahraye

Bohot mumkin hay kal is ka

Mohabbat naam ho jaye



Ruki hay zindagi ek

Muskarate morr pe a kar

Kaheen yeh muskarahat

Zindagi ka gham na ban jaye

Bohot mumkin hay kal is ka

Mohabbat naam ho jaye

· 1 Like · Jul 26, 2015 at 06:07
Category: love
 
Poetry / Love

Kash main keh sakoo kabhi tum se (Pak Old)

Kash main keh sakoo kabhi tum se
Dil ki har bat ankahi tum se

Kash main keh sakoo kabhi ye bhi
bari mushkil hai dil lagi tum se

Kash ke main keh sakoo ke tum kya ho
Hai mere dil main chandni tum se

Kash main keh sakoo kabhi ke mujhe
Baat karni hai zaroori tum se

Kash ke ye bhi kabhi pooch sakoo
kaise hoti hai berukhi tum se

Kash wo waqt bhi ajaye ke ho
meri duniya main roshni tum se

Kash ye raz keh sakoo main kabhi
Hai haseen meri shairi tum se

Kash lafzon main kabhi keh paoon
Mil ke hoti hai jo khushi tum se

Kash ye umr yoon guzar jaye
meri yadain rahain saji tum se

· 1 Like · Jul 25, 2015 at 11:07
Category: love
 
Poetry / Love

Mohabbat (Pak Old)

Mohabat ik samunder hai
buhat piyara bohat dilkash
kinarey per kharey ho ker
Mohabat ko jo dekhay ga
Samunder ko jo dekhay ga
Kashish pani mein aisi hai
ke lehron mein wo utrey ga
kadam bheegay tu sumjhay ga
Mohabat mein adaien hain
Wafaien he Wafaien hain
Magar Pani Mohabat ka
Sir sey jo guzeray ga
to janey ga
Haseen lehroon k neachay tu
jafaien hee jafaien hain
Mohabat ik sumnder hai
buhat piyara buhat dilkash

· 1 Like · Jul 24, 2015 at 19:07
Category: love
 
Poetry / Love

Yeh Haseen Wadiyan (Pak Old)

Yeh haseen wadiyan

Yeh samaa

Dekh kar dil mera

Gungunane laga

Geet gane laga

Muskarane laga

Har taraf noor ki

Yun faza chayi hay

Jase janat zameen pe

Utar ayi hay

Dil ki dharkan main

Kaliyan chatakne lageen

Phool ban ban k

Khushiyan mahekne lageen

Le k aya kidar

Yeh suhana safar

Khud rahi na humain

Aaj apni khabar

· 1 Like · Jul 24, 2015 at 07:07
Category: love
 
Poetry / Love

Sham Se Pahle (Pak Old)

Sham se pahle aana

Dhoup sari dhal rahi ho

Phool sare khil gaye hoon

Mousam sare le ana

Phir wohi din aaye hain

Jane kiya le aaye hain

Jewan mera

Sara tera

Jeena to ek bahana hay

Aik tere a jane se

Mil rahe hain zamane se

Jewan mera

Sara tera

Duur phir kiya jana hay

Sham se pahle aana

Dhoup sari dhal rahi ho

Phool sare khil gaye hoon

Mousam sare le aana

· 1 Like · Jul 23, 2015 at 23:07
Category: love
 
Jild k Liye Dahi ka Istemal
Posted by rumana shahzad
Posted on : Oct 26, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS