Poetry / General

Muzammil Shahzad

Wafa mein Ab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tou khair taira intazaaar karna hai

Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai

woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha keh ussay sharamsaar karna hai

Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai

tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Keh shughal e shab tou sitaray shumaar karna hai

Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai

Kabhi tou dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeah koi zid keh shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai

Advertisement
· 1 Like · Oct 28, 2015 at 11:10
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Ehmiyat
Posted by Amin Lakhan
Posted on : Nov 26, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS