Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tu Ne Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad
Kitne Chup Chaap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke Baad

Itne Chup Chaap Ke Raaste Bhi Rahenge Laa Ilm
Chhor Jaayenge Kissi Roz Nagar Shaam Ke Baad

Main Ne Aise Hi Gunaah Teri Judaai Mein Kiye
Jaise Toofaan Mein Koi Chhor De Ghar Shaam Ke Baad

Shaam Se Pehle Vo Mast Apni Uraanon Mein Raha
Jis Ke Haathon Mein The Toote Hue Par Shaam Ke Baad

Raat Beeti To Gine Aable Aur Phir Socha
Kaun Tha Baais-E-Aaghaaz-E-Safar Shaam Ke Baad

Tu Hai Suuraj Tujhe Maaluum Kahaan Raat Ka Dukh
Tuu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Shaam Ke Baad

Laut Aaye Na Kissi Roz Vo Aavaaraa Mizaaj
Khol Rakhate Hain Isi Aas Pe Dur Shaam Ke Baad

Advertisement
· 1 Like · Sep 16, 2015 at 10:09
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS