Poetry / General
Muzammil Shahzad
hum dono jo harf thay
hum ik roz milay
ik lafz bana
aur hum nay ik maani paye
phir janay kya hum par guzri
aur ab yun hai
tum ik harf ho
ik khanay mein
mein ik harf hon
ik khanay mein
beech mein
kitney lamhoon kay khanay khaali hain
phir say koi lafz banay
aur hum dono ik maani paain
aisa ho sakta hai
lekin
sochna ho ga
in khaali khanon mein hum ko bharna kya hai ?
hum ik roz milay
ik lafz bana
aur hum nay ik maani paye
phir janay kya hum par guzri
aur ab yun hai
tum ik harf ho
ik khanay mein
mein ik harf hon
ik khanay mein
beech mein
kitney lamhoon kay khanay khaali hain
phir say koi lafz banay
aur hum dono ik maani paain
aisa ho sakta hai
lekin
sochna ho ga
in khaali khanon mein hum ko bharna kya hai ?
Advertisement
·
1 Like ·
Nov 20, 2015 at 22:11
Category: general
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video