Poetry / General

Muzammil Shahzad

Vafaa ke bhes men koi raqeeb-e-shahar bhi hai
Hazar! ke shahar ke qaatil tabib-e-shahar bhi hai

Vahi sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaron taraf
Jo mere baKht mien thaa ab nasib-e-shahar bhi hai

Udhar ki aag idhar bhi pahuNch na jaaye kahin
Havaa bhi tez hai jangal qarib-e-shahar bhi hai

Ab us ke hijr mien rotey hain us ke ghaayal bhi
Khabar na thi ke vo zaalim habib-e-shahar bhi hai

Ye raaz naaraa-e-mansoor hi se ham pe Khulaa
Ke choob-e-minbar-e-masjid salib-e-shahar bhi hai

Kari hai jang ke ab ke muqaabile pe `Faraz`
Ameer-e-shahar bhi hai aur khateeb-e-shahar bhi hai

Advertisement
· 3 Like · Nov 22, 2015 at 06:11
Category: general
 

Latest Posts in poetry

This is going to be real challenge.
Posted by maryam rauf
Posted on : Feb 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS