Poetry / Friendship
Suno aye Dost
Kabhi udaas ho jao to,
Kabhi tanhayi ki raatein
Tumhein zyada sataein to,
Kabhi titali na bole to
Aur jugnu laut jayen to,
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sun na paye to,
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jayein to,
Kabhi jab khud se lad lad kar
Thakan se choor ho jao,
Kabhi chahte huye bhi khud akele
Ro na pao to,
Apni ankhon ko band karna
Mujhe aawaz de dena,
Aur phir mere tasawwur se
Jo chaho batein keh dena,
Mere kandhe pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena,
Phir khud mein jab laut jao to
Usi duniya chale jana,
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon mein,
Hamein dil se pukaroge
Hamein tum saath paoge..!
Kabhi udaas ho jao to,
Kabhi tanhayi ki raatein
Tumhein zyada sataein to,
Kabhi titali na bole to
Aur jugnu laut jayen to,
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sun na paye to,
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jayein to,
Kabhi jab khud se lad lad kar
Thakan se choor ho jao,
Kabhi chahte huye bhi khud akele
Ro na pao to,
Apni ankhon ko band karna
Mujhe aawaz de dena,
Aur phir mere tasawwur se
Jo chaho batein keh dena,
Mere kandhe pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena,
Phir khud mein jab laut jao to
Usi duniya chale jana,
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon mein,
Hamein dil se pukaroge
Hamein tum saath paoge..!
Advertisement
·
4 Like ·
Jun 24, 2015 at 14:06
Category: friendship
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video