Poetry / Love

Asiya Faheem

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou
Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga.

#poetry

· 1 Like · Mar 31, 2018 at 00:03
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Ye Na Thee Hamaree Qismat

1. Ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
it was not in my fate to meet my lover

agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
had I lived longer, this would still be my only desire

2. Tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa
to live on your promise is to make my life a lie

ke khushee se mar na jaate agar eitabaar hota
would I not have died of happiness if i trusted it

· 1 Like · Nov 29, 2018 at 02:11
Category: love
 
Poetry / Sad

Ye Saaneha Bhi Mhbt K Sanehaat Mein Tha

ye saaneha bhi mhbt k sanehaat mein tha,
jo dastras mein nahi tha wo mumkinat mein tha,

tumhary baad chaman mein na koi phool khila,
khizan ka aks chaman k baat baat mein tha..,

mera junon hi wahan gham ka tarjuman thera,
shanasa kon mera koey iltefaat mein thaa.....,

hamary qatl ka saaman thy wo lab o aariz,
shareek aankh ka kajal bhi waardaat mein tha,

mein aaino'n ko sajanay ki baat kia karta,
k pathro'n ko sajana lawazmaat mein tha,

talash jiski rhi NAAZ umer bhr mujhko,
chupa howa wo kahin meri apni zaat mein tha

· 1 Like · Jul 22, 2017 at 06:07
Category: sad
 
Poetry / Love

Ye Sach Hai Umer Bhar Pehli Muhabbat Yaad Rehti Hai

Safar Mein Apne Hisse Ki Musafat Yaad Rehti Hai
Kahin Abaad Honay Par Bhi Hijrat Yaad Rehti Hai

Wo Chahe Dosti Ho Dushmani Ho Ya Muhabbat Ho
Yahan Har Haal Mein Apni Zarurat Yaad Rehti Hai

Kisi Sehra Ko Pyasa Chorr Jata Hai Kabhi Darya
Kabhi Pyase Ko Darya Ki Sakhawat Yaad Rehti Hai

Ye Sach Hai Pehla Pyaar Hi Basa Rehta Hai Sanson Mein
Ye Sach Hai Umer Bhar Pehli Muhabbat Yaad Rehti Hai...!

· 1 Like · Aug 23, 2017 at 22:08
Category: love
 
Poetry / Poetry Sms

Ye Safar Dosti Ka Kabhi Khatm Na Hoga

Ye safar Dosti ka kabhi khatm na hoga,
Doston se pyaar kabhi kam na hoga.
Door rehkar bhi jab rahegi mehek iski,
Hamein kabhi bicchadne ka gham na hoga

· 2 Like · May 31, 2015 at 05:05
Category: poetry-sms
 
Poetry / 24

Kashif Mali

Ye Shayeri Ye Muhabbat Tere Wajood Se Hai

Ye Shayeri Ye Muhabbat Tere Wajood Se Hai
Ye Soz Ye Dard Ye Ulfat Tere Wajood Se Hai

Tujhi Ko Dekh Ke Dhalte hain Lafz Geeton Me
Mere Khayal Ki Shuhrat Tere Wajood Se Hai

Tere Hi Dam Se Hai Qaim Wafa Ka Taj Mahal
Meri Wafaon Me Shiddat Tere Wajood Se Hai

Tere Hi Naam Se Milta Hai Zindagi Ko Sukon
Tamam Ulfat-o-Rahat Tere Wajood Se Hai

Jo Ek Bar Padh Le omr Bhar Nahi Bhole
Kalam e Yas ki Shuhrat Tere Wajood Se Hai

Poet: Yasmeen Yas


· 1 Like · Jul 31, 2015 at 18:07
Category: 24
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ye Shishon K Sapney

Ye Shishon K Sapney, Ye Dhagon K Rishtey
Kise Hai Khabar K Kahan Toot Jaye
"Muhabbat"K Darya Mai Kashti Wafa Ki
Kise Hai Khabar K Kahan Doob Jaye
Aaj "DIL" Ki Basti, Ajub"DIL"Ki Halat
Har Ek Mor Mosam Naya Khushyon Ka
Lagaye Hum Ne Bhi Sapno K Poday
Magar Kia Bharosa Yahan Barishon Ka
Jinhe"DIL"Se Chaha Jinhe"DIL"Se Puja
Nazar Aarahe Hain Wohi AJNABI Se
Rewayat Hai Shayad Sadiyon Purani
Shikayat Nhi Hai Koi es Zindagi Se



· 1 Like · Mar 27, 2017 at 18:03
Category: sad
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ye Soch Kar K Teri Jabeen Par Na Bal Paday

Ye soch kar k teri jabeen par na bal paday !
Bus door hi se dekh liya or chal paday !

Dil mein phir ik kasak si uthi muddaton k baad !
Ek umar k ruke hue aansu nikl paday !

Seene mein be-qaraar hein murda muhabbatein !
Mumkin hai ye charaag kabhi Khud hi jal paday !

Ay dil tujhe badalti hui rut se kya mila ?
Poudoun mein phool or darakhton mein phal paday !

Ab kis k intazaar mein jagain tamaam shab ?
Wo saath ho to neend mein kaise Khlal paday ?

'Shehzad' dil ko zabt ka yaara nahein raha !
Nikla jo Maah taab samundar uchal paray !

· 1 Like · Jan 24, 2017 at 07:01
Category: love
 
Poetry / Sad

Ye Soch K Dil Ki Dharkan Hi Ruk Gai Faraz

Ye soch k dil ki dharkan hi ruk gai FARAZ
Ik pal jo tasawar kiya us kay bina jeenay ka

Barbad karnay k or b rastay thay FARAZ
Najanay kyoon usay muhabat ka rasta pasand aya

Dur_o_deewar say hasrat see barasti hai FARAZ
Janay kis dais chalay gaye MUHABAT nibhanay walay

kyoon chupkay say dil main utar jatay hain wo log FARAZ
Jin logoon say MUQQADAR k sitaray nahi miltay

Lagta hai apni uljhanain or barh jayen gi FARAZ
Ajj hamain phir kissi ki sadgi achhi lagi

Teri masoom nigahoon k taQadus ki QASAM FARAZ
Main so bhee jaun to teray khawab jaga daitay hain

· 1 Like · Nov 16, 2014 at 08:11
Category: sad
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ye Tabassum, Yea Aariz, Yea Roshan Jabeen

Ye Tabassum, Yea Aariz, Yea Roshan Jabeen,
Ye Ada, Yea Nigaahain, Ye Zulfain Haseen

Aaeenay Ki Nazar Lag Na Jae Kaheen
Janay Jaan Apna Sadqa Utara Karo

Yaqeen To Kia Cheez Hay Jaan Say Jaeen Gay
Mout Aanay Say Pehlay Hi Mar Jaen Gay

Ye Ada Dekhnay Walay Lut Jaen Gay
Youn Na Hans Hans Kay Dilber Eshara Karo

· 2 Like · Aug 24, 2016 at 19:08
Category: love
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS