Poetry / Sad

Adeel Baig

Jo Ghar Say Door Hotay Hain

Jo Ghar Say Door Hotay Hain
Bohat Majboor Hotay Hain
Kabhi Baghoon Main Sotay Hian
Kabhe Chhup Chhup Kay ROTAY Hain
Gharon Ko Yaad Kartay Hain
To Phir Feryaad Kartay Hain
Magar Jo Be Sahara Hoon
Gharon say Be Kinarah Hon
Inhain Gher Kon Daita Hay
Yeh Khatra Kon Laita Hay.

· 4 Like · Nov 08, 2018 at 21:11
Category: sad
 
Poetry / Love

Mohammed Anwar

Manzar Hai Vahii Thathak Rahii Hun

manzar hai vahii thathak rahii hun
hairat se palak jhapak rahii hun

ye tuu hai ke meraa vaham hai
band ankhon se tujh ko tak rahii hun

jaise ke kabhii na thaa taarruf
yun milte hue jhijhak rahii hun

pahachaan main terii roshanii hun
aur terii palak palak rahii hun

kyaa chain milaa hai sar jo us ke
shaanon pe rakhe sisak rahii hun

ik umr huii hai Khud se larte
ander se tamaam thak rahii hun

· 1 Like · Nov 08, 2018 at 14:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammed Anwar

Chirag Mangte Rehne Ka Kuch Sabab Bhi Nahen

chirag mangte rehne ka kuch sabab bhi nahen
andhera kese bitayen ke ab to shab bhi nahen
mein apne zaam mein ek bazyaft par khush hon
ye waqia hai ke mujh ko mila wo ab bhi nahen
jo mere shair mein mujh se ziyada bolta hai
mein os ki bazm mein ek harf zair lab bhi nahen
aur ab to zindagi karne ke sau tareeqe hain
hum os ke hijr mein tanha rahe thay jab bhi nahen
kamal shakhs tha jis ne mujhe tabha kiya
khilaf os ke ye dil ho saka hai ab bhi nahen
ye dastaken ye meri zindagi ki adhi raat
hawa ka shor samajh lon to kuch ajab bhi nahen
ye dukh nahen ke andheron se sulah ki hum ne
malal ye hai ke ab subha ki talab bhi nahen
hisab dur badari tujh se mang sakta hai
gareeb shahar magar itna be adab bhi nahen
hamen bohat hai ye saadat-e-ishq ki nisbat
ke ye qabeela koii aisa kam nasab bhi nahen

· 2 Like · Nov 08, 2018 at 08:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammed Anwar

Mein Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon

Mein Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon
Mein Is Jeevan Ka Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon

Mera Guzra Hua Kal To Mere Mazi Ka Hisah Hai
Mein Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon

Khizain, Sardian, Garmi, Baharein, Barishein, JaRa
Mein Har Mosaam Ka Har Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon

Sitare Asmaan Ke Sab Tumhari Mang Mein Bhar Kar
Shaab-e-Tera Ka Sab Kajal Tumhare Naam Karta Hoon

Tumhare Bin Yah Har Aik Pal Mujahy Bechain Rakhta Hai
Mein Apna Dil Hai Jo Bekal, Tumhare Naam Karta Hoon

Barasta Bheegta Mosaam Hai Kamzori Meri Lakin
Mein Yah Sawan, Ghatta, Baadal Tumhare Naam Karta Hoon

· 3 Like · Nov 07, 2018 at 23:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammed Anwar

Mein Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon

Mein Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon
Mein Is Jeevan Ka Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon

Mera Guzra Hua Kal To Mere Mazi Ka Hisah Hai
Mein Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon

Khizain, Sardian, Garmi, Baharein, Barishein, JaRa
Mein Har Mosaam Ka Har Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon

Sitare Asmaan Ke Sab Tumhari Mang Mein Bhar Kar
Shaab-e-Tera Ka Sab Kajal Tumhare Naam Karta Hoon

Tumhare Bin Yah Har Aik Pal Mujahy Bechain Rakhta Hai
Mein Apna Dil Hai Jo Bekal, Tumhare Naam Karta Hoon

Barasta Bheegta Mosaam Hai Kamzori Meri Lakin
Mein Yah Sawan, Ghatta, Baadal Tumhare Naam Karta Hoon

· 3 Like · Nov 07, 2018 at 16:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammed Anwar

Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker

Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Chaand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker

Meri Jaagi Hoi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker

Mera Kya Haal Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker

Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar Anchal
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker

Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

· 1 Like · Nov 07, 2018 at 09:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammed Anwar

Mohabbat Jab Laho Ban Kar

Mohabbat jab laho ban kar
ragoon main sersaray to
koi bhola hua chehra
achanak yaad aye to
kadam mushkil se uthte hoon
irada dagmagay to
koi madham se lahje main
tumhain wapas bolaye to
thahr jana
samjh lena
ke ab wapas paltne ka amal aghaaz hota hai
kabhi tanhaiyoon ka dard
ankhoon main samaye to
koi lamha ghuzishta chahatoon ka
jab sataye to
kisi ki yaad main rona
tumhain bhi khoon rulay to
agar tum se tumhara dil
kisi dam roth jay to
kabhi anhooniyoon ka dar
parindoon ko urhae to
hawa jab darkht se ik zard sa
patta giraye to
thahr jana
samjh lena
Ke ab wapas paltne ka amal aghaaz hota hai

· 3 Like · Nov 07, 2018 at 02:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammed Anwar

Pahale Pahal

pahale pahal to Khvaabon kaa dam bharney lagatii hain
phir aankhen palakon mein chhup kar rone lagatii hain

jaane tab kyon suuraj kii Khvaahish karte hain log
jab baarish mein sab diivaaren girney lagatii hain

tasviiron kaa rog bhii aakhir kaisaa hotaa hai
tanhaaii mein baat karo to bolane lagatii hain

saahil se takaraane vaalii vahashii maujen bhii
zindaa rehney kii khvaahish mein marne lagatii hain

tum kyaa jaano lafzon ke aazaar kii shiddat ko
yaaden tak sochon kii aag mein jalane lagtii hain

· 2 Like · Nov 06, 2018 at 20:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammed Anwar

Zaalim Thaa Vo Aur Zulm Kii Aadat Bhii Bahut Thii

zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii

us butt ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
go apanii tabiyat mein bagavat bhii bahut thii

vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa
dil ke liye thorii sii inaayat bhii bahut thii

yun hii nahiin mashhuur-e-zamaanaa meraa qaatil
us shaKhs ko is fun mein mahaarat bhii bahut thii

kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahuu dil mein bahut thaa
aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii

har shaam sunaate the hasiinon ko Gazal ham
jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii

bulavaa ke ham 'Ajiz' ko pasheman bhii bahut hain
kyaa kiijiye kambaKht kii shoharat bhii bahut thii

· 1 Like · Nov 06, 2018 at 13:11
Category: love
 
Watch: Germany vs. Brazil
Posted by Sports and Games Videos
Posted on : Nov 17, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS