Archives

Poetry / General

Mahu Arish

Woh Subah Kabhi To Aaye Gi

beete ge kabhi to din aakhir yeh bhook ke aur be kaari ke
tooten ge kabhi to butt aakhir doulat ki ajarah daari ke
jab aik anokhi duniya ki bunyaad uthai jaye gi
woh subah kabhi to aaye gi

#peotry />

· 0 Like · Apr 16, 2018 at 05:04
Category:
general
 
Poetry / General

Madiha Sultan

Kaisay Aaye Ga Tere Khad O Khaal Ka Mausam

Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam ?
Qismaton Mein Jab Likha Hai Zawaal Ka Mausam
Kis Ne Khail Khaila Hai Kis Ne Hijr Jhaila Hai
Ab Guzar Gaya Jaanan Is Sawaal Ka Mausam
Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shaakh Per Khiltay
Mein Ke Hijr Ka Lamha, TU Visaal Ka Mausam
Dil Ke Ab Tou Sehra Hai Aur Aisay Sehra Mein
Jaanay Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Mausam
Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Rehguzaaron Per
Tere Lams Ka, Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam
Hum Kubhi Tou Dekhain Ge Wehshaton Ke Sehra Mein
Ay Khuda Mohabbat Ke Aitedaal Ka Mausam.

#peotry

· 14 Like · Apr 03, 2018 at 16:04
Category: general
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS