iJunoon Archives |2015 | January
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kya Aah Bhare Koi
Kya aah bharay koi
Jab aah nahin jati
Dil main bhi zara gehri
Aur arsh se kuch oonchi
Kya nazm likhay koi
Jab khawab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkol gadaei ka
Shaair ko diya jaye
Aur rook liya jaye
Jab shaer utarnay say
Baadal say zara oopar
Taaron say zara neechay
Kya khaak likhay koi
Jab khaak ke medaan par
Ungli ko hilanay se
Toofan nahin uthta
Jab shaakh peh imkan ki
Is dasht_e_tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Jab dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik dour ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata
Basti mein koi aurat
Raaton ko nahin soti
Jaagi huwi aurat ki
Soi hui qismat par
Jab koi bhi deewana
Bey chain nahin hota
Dehleez ke pathar se
Takra ke jabeen apni
Ik shakhas nahin rota
Jab neend ke shedaei
Khawabon ko tarastay hain
Aur dekhnay ke aadi
Binaei se dartay hain
Reh Reh ke andheray sayy
Aankhon mein utartay hain
In phool se bachoon say
Keh do keh na ab nangay
Paaon se chalein ghar mein
Is farsh peh mitti ke
Ab ghaas nahin ugti
Ab Saanp nikaltay hain
Deewar se aur darr se
Ab noor ki boondon se
Mehki hui mitti mein
Anmol ujalay ke
Woh phool nahin khiltay
Ab jheel kanaray par
Bichhray bhi nahin miltay
Rahbar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Ab noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti
Basti mein koi aurat
Raton ko nahin soti
Aur jagnay walon say
Ab nazm nahin hoti
Kya nazm likhay koi
Jab jagnay, sonay mein
Paa lenay mein, khonay mein
Jab baat ke honay mein
Aur baat na honay mein
Kuch farq na reh jaey
Kya baat karay koi !
Jab aah nahin jati
Dil main bhi zara gehri
Aur arsh se kuch oonchi
Kya nazm likhay koi
Jab khawab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkol gadaei ka
Shaair ko diya jaye
Aur rook liya jaye
Jab shaer utarnay say
Baadal say zara oopar
Taaron say zara neechay
Kya khaak likhay koi
Jab khaak ke medaan par
Ungli ko hilanay se
Toofan nahin uthta
Jab shaakh peh imkan ki
Is dasht_e_tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Jab dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik dour ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata
Basti mein koi aurat
Raaton ko nahin soti
Jaagi huwi aurat ki
Soi hui qismat par
Jab koi bhi deewana
Bey chain nahin hota
Dehleez ke pathar se
Takra ke jabeen apni
Ik shakhas nahin rota
Jab neend ke shedaei
Khawabon ko tarastay hain
Aur dekhnay ke aadi
Binaei se dartay hain
Reh Reh ke andheray sayy
Aankhon mein utartay hain
In phool se bachoon say
Keh do keh na ab nangay
Paaon se chalein ghar mein
Is farsh peh mitti ke
Ab ghaas nahin ugti
Ab Saanp nikaltay hain
Deewar se aur darr se
Ab noor ki boondon se
Mehki hui mitti mein
Anmol ujalay ke
Woh phool nahin khiltay
Ab jheel kanaray par
Bichhray bhi nahin miltay
Rahbar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Ab noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti
Basti mein koi aurat
Raton ko nahin soti
Aur jagnay walon say
Ab nazm nahin hoti
Kya nazm likhay koi
Jab jagnay, sonay mein
Paa lenay mein, khonay mein
Jab baat ke honay mein
Aur baat na honay mein
Kuch farq na reh jaey
Kya baat karay koi !
·
1 Like ·
Jan 02, 2015 at 00:01
Category: sad
Wallpapers / Flowers
Shagufta Yasmeen
Golden Shasta Daisy
Flowers wallpapers
·
3 Like ·
Jan 01, 2015 at 20:01
Category: Flowers
Tags: Hd wallpaper Wallpaper
Sms / Valentines Day
Mohammad Asif
Keep My Relation Until I Die…
---;-<@
---;-<@
---;-<@
Roses exclusively from a nice person...
""U""
From a simple person...
""ME""
Keep roses until they dry...
Keep my relation until I die...
Happy Valentine""s Day !
---;-<@
---;-<@
Roses exclusively from a nice person...
""U""
From a simple person...
""ME""
Keep roses until they dry...
Keep my relation until I die...
Happy Valentine""s Day !
·
1 Like ·
Jan 01, 2015 at 20:01
Category: valentines-day
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Koi Baat Karo Janaa
Chup Chaap Buhat Ho Tum,
Koi Baat Karo Janaa
Mehroom-E-Wafa Hun Main
Tere Dur Par Khara Hun Main
Khairaat Karo Janaa
Koi Baat Karo Janaa
Door Ho Tanhai
Mere Khuwaab Mein Aajao
Itna Tu Karo Janaa
Yeh Hijr Ki Kaali Raat,
Hamain De Na Jaaye Maat
Isey Sehr Karo Janaa
Koi Baat Karo Janaa
Ulfat Ki Wadi Mein,
Dukh Sukh Ka Saathi Hun
Mere Saath Chalo Janaa
Koi Baat Karo Janaa!
Main Kaisa Deewana Hun,
Teri Tasveer Se Kehta Hun
Chup Chaap Buhat Ho Tum
Koi Baat Karo Janaa
Koi Baat Karo Janaa
Mehroom-E-Wafa Hun Main
Tere Dur Par Khara Hun Main
Khairaat Karo Janaa
Koi Baat Karo Janaa
Door Ho Tanhai
Mere Khuwaab Mein Aajao
Itna Tu Karo Janaa
Yeh Hijr Ki Kaali Raat,
Hamain De Na Jaaye Maat
Isey Sehr Karo Janaa
Koi Baat Karo Janaa
Ulfat Ki Wadi Mein,
Dukh Sukh Ka Saathi Hun
Mere Saath Chalo Janaa
Koi Baat Karo Janaa!
Main Kaisa Deewana Hun,
Teri Tasveer Se Kehta Hun
Chup Chaap Buhat Ho Tum
Koi Baat Karo Janaa
·
1 Like ·
Jan 01, 2015 at 17:01
Category: love
Sms / Friendship
Shoiab
Success Is Measured Not So Much
Success is measured not so much
by the height that one has achieved in the life
but by the difficulties that one has overcome
while achieving success.
by the height that one has achieved in the life
but by the difficulties that one has overcome
while achieving success.
·
1 Like ·
Jan 01, 2015 at 14:01
Category: friendship
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aur Bus
Ik Shakhs Mujh Ko Jeet K Haara Hai Aur Bass
Itna Hee Zindagi Ka Khassara Tha Aur Bass ...!
Dar Tha Tujhey Khoney Ka, Issi Kouf Sey Ik Raat
Main Ney Sisak Key Tujhko Pukara Tha Aur Bass
Kaisay Kahoon K Uss Ka Irrada Badal Gaya
Sach Tu Yehi Hai Uss Ne Pukara Tha Aur Bass..
Duniya Ko Iss Main Dard Kee Shiddat Kahan Millay
Aankhoon Se Tootta Hua Taara Tha Aur Bass
Ab Inn Main Koi Khawaab Sajanay Nahin Mujhay
Aankhoon Ko Intezaar Tumhara Tha Aur Bass
Poocha K Main Ne Khawaab Main Daikhi Hain Barishain
Uss Ne Kaha K Aik Ishara Tha Aur Bass
Lafzoon Main Dard-e-Hijr Ko Mehsoos Ker K Daikh
Kehnay Ko Main Ne Waqt Guzara Tha Aur Bass
Palkon Peh Uske Aik Sitara Tha Aur Bas
Zaad-E-Safar Yahi To Hamara Tha Aur Bas
Banjar Samaaton Ki Zamin Kaisay Khil Uthi
Tum Ne To Mera Naam Pukara Tha Aur Bas
Ik Umr Meri Zaat Peh Saya fagan Raha
Kuch Waqt Hum Ne Saath Guzara Tha Aur Bas
Itna Hee Zindagi Ka Khassara Tha Aur Bass ...!
Dar Tha Tujhey Khoney Ka, Issi Kouf Sey Ik Raat
Main Ney Sisak Key Tujhko Pukara Tha Aur Bass
Kaisay Kahoon K Uss Ka Irrada Badal Gaya
Sach Tu Yehi Hai Uss Ne Pukara Tha Aur Bass..
Duniya Ko Iss Main Dard Kee Shiddat Kahan Millay
Aankhoon Se Tootta Hua Taara Tha Aur Bass
Ab Inn Main Koi Khawaab Sajanay Nahin Mujhay
Aankhoon Ko Intezaar Tumhara Tha Aur Bass
Poocha K Main Ne Khawaab Main Daikhi Hain Barishain
Uss Ne Kaha K Aik Ishara Tha Aur Bass
Lafzoon Main Dard-e-Hijr Ko Mehsoos Ker K Daikh
Kehnay Ko Main Ne Waqt Guzara Tha Aur Bass
Palkon Peh Uske Aik Sitara Tha Aur Bas
Zaad-E-Safar Yahi To Hamara Tha Aur Bas
Banjar Samaaton Ki Zamin Kaisay Khil Uthi
Tum Ne To Mera Naam Pukara Tha Aur Bas
Ik Umr Meri Zaat Peh Saya fagan Raha
Kuch Waqt Hum Ne Saath Guzara Tha Aur Bas
·
2 Like ·
Jan 01, 2015 at 11:01
Category: sad
Sms / Valentines Day
Syed Ali
If A Purfumed Rose Touches Your Face
IF A PURFUMED ROSE TOUCHES YOUR FACE,
IF YOUR MOBILE DANCES ON A NICE TONE,
REMEMBER ITS ME TRYING TO SAY YOU
""HAPPY VALENTINE""S DAY""
IF YOUR MOBILE DANCES ON A NICE TONE,
REMEMBER ITS ME TRYING TO SAY YOU
""HAPPY VALENTINE""S DAY""
·
1 Like ·
Jan 01, 2015 at 09:01
Category: valentines-day
Articles / Featured
Ijunoon
2014 Pakistan Mein Pesh Anay Walay Aham Waqeat
·
0 Like ·
Jan 01, 2015 at 08:01
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ek Shakhs Tere Hijjir Mein
Jo Dard K Sehra Mein Akela Bhi Buhat Hai
Us K Liye Deewar Ka Saaya Bhi Buhat Hai
Daikha Nahi Tanhai Mein Tum Ne Kabhi Usko
Bichre Hue Logon Ko Woh Roya Bhi Buhat Hai
Kuch Tujh Ko Muhabbat Par Yakeen Tha Na Wafa Par
Kuch Dukh Meri Taqdir Mein Likha Bhi Buhat Hai
Beenai Andheron Se Bhala Kaise Bachata
Ek Shakhs Tere Hijr Mein Jaaga Bhi Buhat Hai
Wo Aur Hain Jo Chho Ka Tujhe Daikhna Chahen
Mujh Ko Tu Mere Khuwab Ki Dunya Bhi Buhat Hai
Kirdaar Se Mehroom Tha Yeh Shehr So Us Ne
Hum Ko Dur-O-Deewar Peh Likha Bhi Buhat Hai
Us K Liye Deewar Ka Saaya Bhi Buhat Hai
Daikha Nahi Tanhai Mein Tum Ne Kabhi Usko
Bichre Hue Logon Ko Woh Roya Bhi Buhat Hai
Kuch Tujh Ko Muhabbat Par Yakeen Tha Na Wafa Par
Kuch Dukh Meri Taqdir Mein Likha Bhi Buhat Hai
Beenai Andheron Se Bhala Kaise Bachata
Ek Shakhs Tere Hijr Mein Jaaga Bhi Buhat Hai
Wo Aur Hain Jo Chho Ka Tujhe Daikhna Chahen
Mujh Ko Tu Mere Khuwab Ki Dunya Bhi Buhat Hai
Kirdaar Se Mehroom Tha Yeh Shehr So Us Ne
Hum Ko Dur-O-Deewar Peh Likha Bhi Buhat Hai
·
1 Like ·
Jan 01, 2015 at 05:01
Category: sad
Sponored Video