Poetry / Political

Mohammed Anwar

Sheher Barbaad Ho Raha Hey Abhi

Sheher Barbaad Ho Raha Hey Abhi
Or Tu Hey K So Raha Hey Abhi

Dekh Weran Ho Raha Hey Jahan
Or Tu Dagh Dho Raha Hey Abhi

Terey Ander Bhi Koi Dukh Main Hey
Merey Ander Bhi Ro Raha Hey Koi

· 4 Like · Nov 06, 2018 at 05:11
Category: political
 
Poetry / Love

Mohammed Anwar

Khushhal Say Tum Bhi Lagtay Ho

khushhal say tum bhi lagtay ho, yon afsurda to ham bhi nahin
par janenay walay jantay hain , khush ham bhi nahin khush tum bhi nahin

tum apni khudi kay pehray main, or dam-e-ghoror main jakray hoaye
ham apnay zaam kay narghay main , ana hath hamaray pakray hoaye

ik muddat say ghaltan paychan, tum rabt-o-guraiz kay dharon main
ham apnay aap say uljhay hoaye, pachtaway kay angaron main

mahsor-e-talatum aaj bhi ho, go tum nay kinaray dhoond liaye
tofan say sanbhlay ham bhi nahin, kahnay ko saharay dhoond liaye

khamosh say tum ham mohar ba-lab, jug beet gaye tuk baat kiye
suno khail adhora chortay hain, bina chal chalay bina maat kiye

jo bhagtay bhagtay thak jain, wo saaye ruk bhi saktay hain
chalo torro qasam iqrar karain, ham donon jhuk bhi saktay hain..

· 3 Like · Nov 05, 2018 at 23:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Khulay Panion Main Ghiree Larkian

Khulay panion main ghiree larkian
Naram lehroon ke chentay urati hoin
Bat be bat hansti hoin
Apnay khuabon k shehzaday ka tazkara karti hoin..
Jo khamosh thin un ki ankhon main bhe
muskurahat ki thehar thi
Humari hansi aur mojon ke ahang se bekhabar
door sahil per baithy hoe ik nanhi si bachi
Rait se ik nanha gharonda bananay main masroof
aur main sochti thi
Ya KHUDA yeh hum larkian
Kachi umer se khuab kion daikhna chahti hain?

· 1 Like · Nov 05, 2018 at 17:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Mohabbaton

Mohabbaton Ki Sazaa Dee Bay Misaal Usnay
Udaas Rehnay Ki Aadat Daal Dee Usnay

· 2 Like · Nov 05, 2018 at 10:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Ose Yaad Kar Ke Na Dil Dukha

ose yaad kar ke na dil dukha, jo guzar gaya wo guzar gaya
kahan laut kar koi aye ga, jo guzar gaya wo guzar gaya
nayii subh hai naii sham hai naya shahar hai naya naam hai
woh chala gaya ose bhool jaa, jo guzar gaya wo guzar gaya
koii aye ga koii jaye ga koii jaye ga koii aye ga
suno raston ki sada suno, jo guzar gaya wo guzar gaya
tere pass tera habib hai, jo nahen mila wo naseeb hai
koii phool kehta hai muskura, jo guzar gaya wo guzar gaya
mujhe patt jharron ki kahaniyan na suna suna ke udas kar
naye mosamon ka pata bata, jo guzar gaya wo guzar gaya
yahan aitibar o yaqeen hai ye haqeeqaton ki zameen hai
zara dair ka koii khwab tha, jo guzar gaya wo guzar gaya

· 1 Like · Nov 05, 2018 at 03:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Dard Apnata Hai

dard apanata hai paraae kaun
kaun sunataa hai aur sunaae kaun

kaun doharaae vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaae kaun

vo jo apne hain kyaa vo apne hain
kaun dukh jhele aazamaae kaun

ab sukun hai to bhuulane mein hai
lekin us shakhs ko bhulaae kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aae kaun

· 2 Like · Nov 04, 2018 at 18:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Khiza Kay Mousam Say

Khizan kay mousam sey gulaab maang raha hai
phir apney liye koi azab maang raha hai

Jaan mangta to mein zara taghaful na karta
magar woh mujh se mere khawab maang raha hai

Ataa kar k mere zeest ko hijr ki aziyatien
aur mujh se visaal-e-rut k hisaab maang raha hai

Khataien karna hi raha mashghala uss ka
mein kiya doon sila ussey woh sawab maang raha hai

Apni samjh mein uss ki guftagu bhi nahi aati
aur woh ankahey sawaloon kay jawab maang raha hai

Mujh ko apney wajood pe bhi dastaras nahi hasil
aur dil-e-nadan hai mehtaab maang raha hai

Koi zindagi se ghabra gaya iss qadar
kashti ka musafir hai aur gardaab maang raha hai

· 2 Like · Nov 04, 2018 at 11:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Tumhain Dil Day

Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Janaa,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

Teri Tasweer, Adhooray Khat Tu Jala Diyey Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parinday Jab Satatay Hain Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Sahil Ki Woh Mitti K Jis Pay Khud Hathoon Say,
Wafa Likh Kar Mitatay Hain Tou Aankhain Khoob Rooti hian..

· 1 Like · Nov 04, 2018 at 03:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Raaz Ki Baaten

raaz kii baaten likhin aur Khat khulaa rahne diyaa
jaane kyon rusavaiion kaa silasilaa rahne diyaa

umr bhar mere saath rah kar vo na samajhaa dil kii baat
do dilon ke daramiyan ik fasala rahne diyaa

apanii fitarat vo badal paayaa na isake bavajuud
Khatm kii ranjish magar gilaa rahne diyaa

main samajhta tha Khushii degii mujhe "Sabir" fareb
is liye main ne Gamon se raabataa rahne diyaa

· 2 Like · Nov 03, 2018 at 20:11
Category: love
 
Nice Art
Posted by amina noor
Posted on : May 15, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS