Poetry
Poetry / Sad
Shahida Malik
Shabab Aaya Kisi But Par Fida Hone Ka Waqt Aaya
Shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya
meri duniya mein bande ke khuda hone ka waqt aaya
unhen dekha to zahid ne kaha iman ke ye hai
ki ab insan ko sajada-rava hone ka waqt aaya
takallum ke khamoshi kah rahi hai harf-e-matalab se
ki ashk-amez nazron se ada hone ka waqt aaya
khuda jane ye hai auj-e-yaqin ya pasti-e-himmat
khuda se kah raha hun nakhuda hone ka waqt aaya
hamen bhi aa pada hai doston se kam kuch yani
hamare doston ke bevafa hone ka waqt aaya.

·
0 Like ·
Jul 31, 2018 at 10:07
Category: sad
Poetry / Sad
Asiah Rahi
Sochate Aur Jagate Sanson Ka Ik Dariya Hun Mai
Sochate aur jagate sanson ka ik dariya hun main
apne gumgashta kinaron ke liye behta hun main
jal gaya sara badan in mausamon ke aag mein
ek mausam ruh ka hai jis mein ab zinda hun main
mere honton ka tabassum de gaya dhokha tujhe
tune mujhko bag jana dekh le sehra hun main
dekhiye meri pazirai ko ab aata hai kon
lamha bhar ko waqt ke dahaliz par aaya hun main.

3 Like ·
Jul 31, 2018 at 03:07
Category: sad
Poetry / Sad
Sana Dimple
Silsilay Torr Diye Tum Ne To Ye Wafaa''en Kaisi..?

Ab Jo Milna Hi Nahi, Phir Ye Sadaa''en Kaisi..?
Me Ne Chaaha Tha Sab Shikway Gilay Door Karna,,
Tum Ne Zehmat Hi Na Ki Sun''Ne Ki, To Ye Aahen Kaisi..?
Le Lo Wapis Ye Aansu, Ye Tarrap Aur Ye Yaadein Saari,,
Jab Koi Jurm Hi Nai Hai Mera, To Phir Ye Sazaa''en Kaisi
Thak Chuka Hoon Me Mohabbat Ka Bojh Liye Chal Chal Kar.
Koi Manzil Hi Nai Jab Pyar Me, To Phir Ye Rahein Kaisi.......!!

Jul 30, 2018 at 18:07
Category: sad
Poetry / Sad
Zafar Ali Khan
Woh Nazar Se Tu Door Hain,
Woh nazar se tu door hain, magar yeh ajeeb soorat-e-haal hai
Har waqt pesh-e-nazar bhi hain, na firaak hai na visaal hai
Na woh hum se kum na hum unse kum, woh udhar khafa hum idher khafa
Na inhein humara khayal hai, na humein deemagh-e-sawal hai
Yehi Qurbatein yehi fasley tu khaloos-e-ishq ki jaan hain
Kabhi gird-e-ranj o malal hai, kabhi fikar yeh pesh-e-haal hai
Yeh tumhari kaj adhaiyan koi aur seh kar dikhaye tu
Yeh jo hum mein tum mein nibah hai , yeh mere hosle ka kamaal hai
Mujhe iss ka koi bhi gham nahi kay kissi ne mujhse wafa nahi ki
Main kissi kay kaam na asaka , mujhe sirf iska malal hai
Jo guzar rahi hai guzaar do, Na bura kaho na gila karo
Jo tumhara haal hai dostoo, wohi sarey shehar ka haal hai
Woh kahan se laon roshni? Jo kissi kay shehar main lut gayi
Woh ainoo ka shehar bhi lut gaya, mujhey iska aur malal hai...!!!

Jul 30, 2018 at 12:07
Category: sad
Poetry / Sad
Sadaf Zeeshan
Aaina
Na jane kaise katta io tanha zindagi ka safar
Apne ghar mai agar na mujh ko aaina milta
Apne ghar mai agar na mujh ko aaina milta
·
0 Like ·
Jul 29, 2018 at 12:07
Category: sad
Poetry / Sad
Mian Usman
Wafa
Log aise wafa se dartay hain
Jaise bachay bala se Dartay hain
Jaise bachay bala se Dartay hain
·
0 Like ·
Jul 28, 2018 at 16:07
Category: sad
Sponored Video