Poetry / General

Moiz Arshad

Andhairay Jatay Nahi Sirf Soch Lenay Sey.

Andhairay Jatay Nahi Sirf Soch Lenay Sey.....

Chiraagh Khud Nahi Jalta Jalaana Parta Hai....



· -1 Like · Oct 02, 2018 at 21:10
Category: general
 
Poetry / Love

Muhammad Aftab

Suno Itnay Bhi Piyaaray Nahi Ho Tum Bass.

Suno... !
Itnay Bhi Piyaaray Nahi Ho Tum Bass....

Meri Chaahat Nay,
Tumhien Sar Pay Charrha Rakha Hai....



· 0 Like · Oct 02, 2018 at 14:10
Category: love
 
Poetry / Sad

Farhan Bilal

Pehli Pehli Muhabbaton Ka Khumaar.

Pehli pehli Muhabbaton ka khumaar,,
baton baton main raat dhal jaaye,,
ab k dil main woh dard utra hai,,
ghair mumkin hai aaj kal jaaye,,
zindgi khush hai tere wadon pe,,
jaisay bachay ka dil behal jaye,,
hijr ki raat dhal gayi mohsin,,
ab to dil se kaho sambhal jaye..

· 0 Like · Oct 02, 2018 at 07:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Alisha Khan

Ankhon Mein Sama Jao.

Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna
Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna
Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna.

· 0 Like · Oct 01, 2018 at 23:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Madiha Sultan

Sab Se Chupa Kar Dard Jo Woh Muskura Diya Us Ki Hansi Ne.

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya…
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya..
aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya..
jane kya us ko logon sey thi shikayatein
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya..
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya.

· 1 Like · Oct 01, 2018 at 14:10
Category: sad
 
Poetry / General

Shaheen Fatima

Kaghaz Ki Kashti Thi Paani Ka Kinara Tha.

Kaghaz ki kashti thi paani ka kinara tha
Khelne ki masti thi dil ye awaara tha
Kahan aagaye is samajhdari k daldal mein
Wo nadaan bachpan bhi kitna pyara tha..

· 0 Like · Oct 01, 2018 at 08:10
Category: general
 
Poetry / Humorous

Maria Waheed

Ye Aankhien, Ye Gulabi Honth,

Ye Aankhien, Ye Gulabi Honth, Ye Naagan Si Zulfian....

Tu Qaatal Hai Magar Dil Sey Laganay K Qaabil Hai.....

· 3 Like · Oct 01, 2018 at 01:10
Category: humorous
 
Poetry / General

Mooria Ul Ain

Mujhay Achi Lagti Hain Meray Haath Ki Sabhi Ungliyaa''n.

Mujhay Achi Lagti Hain Meray Haath Ki Sabhi Ungliyaa''n....

Janay Kis Ungli Ko Pakar Kar,
Meri Maa''n Nay Mujhay Chalna Sekhaya Tha....



· 1 Like · Sep 30, 2018 at 17:09
Category: general
 
Poetry / Sad

Luqman Mali

Kahin Aah Banke Lab Pe Tera Naam Aa Na Jaaye.

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye
tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye
zara khud ko sambhalo mera dil dhadak raha hai
koi aur tair-e-dil tah-e-daaman aa na jaaye
jise soonke toot jaaye mera aarzoo bhara dil
teri anjuman se mujhko woh payaam aa na jaaye
woh ke manzilon pe lakar kisi humsafar ko lootein
inhi rehzahon mein tera kahin naam aa na jaaye
yeh mah-o-najoom hans lein mere aansuon pe
mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye….
NiMi

· 1 Like · Sep 30, 2018 at 11:09
Category: sad
 
Khoobsurat Jawab
Posted by Abdulla Bhatti
Posted on : Oct 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS